Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderUAE parwazon ko Bahrain ke fazai hudood istemaal ki ijazat

UAE parwazon ko Bahrain ke fazai hudood istemaal ki ijazat

Manama: Bahrain ney Bartania ke fazai hudood se Mutahidda Arab Emarat ( UAE ) jaaane wali tamam mumalik ki parwazon ko anay aur jaaane ki ijazat dainay ki darkhwast ko manzoor karliya. Bahrain ke fazai hudood istemaal karne ki ijazat day di hai wizarat baraye naqal o hamal aur muwasilat mein shehri huwa baazi ke umoor ke shobay ney kaha hai ke yeh darkhwast Mutahidda Arab Emarat ke general Civil Avaition Authority ki taraf se mousool huvi hai.

Bahrain ny is darkhwast mein kaha gaya hai ke UAE ki khwahish hai ke tamam mumalik aur Mutahidda Arab Emirate ke darmain safar ke douran parwazon ko mumlikat ke fazai hudood se guzarnay ki ijazat di jaye. Wazeh rahay ke pichlle haftay Saudi Arab mein Mutahidda Arab Emarat aur deegar mumalik ke mabain tamam parwaazon ko Saudi fazai hudood se safar karne ki ijazat day diye jaanay ke baad yeh elaan Saudi Arab ki taraf se isi terhan ka bayan jari karne ke baad samnay aaya hai. Yeh baat Mutahidda Arab Emirate aur Israel ke darmain pichlle mahinay safarti taluqaat mamool par laane ke baad ki hai.

Shehzada Faisal bin Farhan ne kaha Mutahidda Arab Emirate ki parwazon ko Saudi fazai hudood se guzarnay ki ijazat dainay ka yeh matlab hargiz nahi hai ke Palestine ke mutaliq Saudi Arab ka moaqqaf tabdeel hogaya hai. Mumlikat Arab aman iqdaam ke mutabiq insaaf aur paidaar aman ke husool ki tamam koshisho ki tareef karti hai lekin is ke sath Palestine ke mutaliq apne muaqqaf par qaim bhi hai.