Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsUAE ne tareekh raqam kardiya, Mission Mereekh ke safar ka aaghaz

UAE ne tareekh raqam kardiya, Mission Mereekh ke safar ka aaghaz

Dubai: UAE ne tareekh raqam kar di jaissa ke Arab duniya ke pehlay khalayi Mission Hope Probene pair ko Japan se Mereekh ke liye apne safar ka aaghaz kiya hai. Emarat ke is khalayi mission ko Al Amal ( Hope Probe) ka naam diya gaya hai. Mission ko Mereekh ke madaar taq pounchanay mein lag bhag 200 din darkaar hon ge. Jis waqt Mereekh puhanche ga is waqt UAE ke awam riyasat ke qiyam ki 50 we saalgirah ka jashnn mana rahay hon ge. Emarati khabar-rasan Agency WAM ke mutabiq surkh sayaray ke madaar mein pounchanay ke fori baad khalayi mission wahan ke mousmi halaat ka jaiza shuru kere ga.

Emarati khalayi Mission ne Japan ke Tanegashima khalayi markaz se safar ka aaghaz kiya hai. Usay HTO Rocket ke zariye launch kiya gaya. Tawaqqa hai Al Amal ( Hope Probe ) khalayi mission madaar mein 687 din tak rahay ga. Yaad rahay ke Mereekh Mission ka elaan 2014 mein UAE ke safar  Sheikh Khalifa Bin Zayed Al Nahyan aur naib sadar Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum ne kiya tha.

Ye tehqiqati mission UAE mein science data center ko duniya bhar mein phailay hue mukhtalif ground stations ke zariye Mereekh ke baray mein naya data jama karkay wapas bhejhay ga. Emarat ki Mereekh mission science team un adaad o shumaar ka tajzia kere gi aur insaaniyat ki khidmat ke liye usay bain ul aqwami Mereekh science samaaj ko muft faraham kere gi.

Khalayi mission par red x-ray system nasb hai. Ye Mereekh ke zaireen fazai ghilaaf ki pemaiesh kere ga aur darja hararat ka tajzia kere ga. Saal bhar Mereekh ke badalty hue mousomoun ki mukammal tasweer li jaye gi. Khalayi mission mein nasb hassas camera ozone ke hawalay se daqeeq tareen maloomat haasil kere ga jabkay 43 hazaar Kilometer tak ki masafat ke faaslay se oxygen aur hydrogen ki miqdaar napnay wala aala bhi nasb kiya gaya hai.

Qabal azeen UAE ki qayadat neh Japan ke Tanegashima khalayi markaz se Mereekh par jane walay Emarati mission ki tayarion ka jaiza liya. Video ijlaas ke zariye Emarat ke naib sadar, Wazeer e Azam aur Dubai ke hukmaran Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum, Abu Dhabi ke Wali Ahad aur Emarat ki musallah afwaj ke Deputy Supreme Commander Sheikh Mohammad Bin  Zayed Al Nahyan aur Dubai ke Wali Ahad aur Mohammad Bin Rashid khalayi markaz ke sadar Sheikh Hamdan Bin Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ko khalayi mission team ki zair nigrani takneeki sar garmioun ke baaray mein bataya gaya.

Is mauqa par Japan mein launch team se khitaab karte hue Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne kaha ke 1976 mein Sheikh Zayed NASA ke mahireen se miley they kyunkay khalaa ko maskhar karna un ka khawab tha. Aaj aap un ke khawab ko haqeeqat bana rahe hain.

Sheikh Mohammad Bin Zayed Al Nahyan ne Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ko mukhatib karte hue kaha ke aap ki kawishoun aur azam ki badolat aaj hamaray nojawanoun ne hamara, Apne ahal khanah, Apne mulk aur Arab duniya ka sar fakhr se buland kardiya hai. Unhoun ney kaha ke ye tareekhi waqea mere bhai Mohammad Bin Rashid ki lagan, Azm aur istiqamat ke baghair mumkin nahi tha. Aaj ka din UAE aur Arab qoum ki tareekh mein sang mil ki hesiyat rakhta hai kyunkay ye be misaal karnaama tamam Arbo ke liye hai. Sheikh Hamdan Bin Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ney kaha ke hum khalayi daur mein daakhil hue hain aur mazeed aisay Missions ke muntazir hain.

Emarat ki qayadat ney Japan mein launch side aur Dubai ke ground station par Emarati team ki tareef ki jinhoun ney coronavirus ke baais darpaish sahet aur logestic challenges ke bawajood Mereekh Mission ku bar-waqt Japan muntaqil kiya.