Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsUAE, Misar, Tunisia, Lebanon aur Bahrain ne bain ul aqwami parwazein shuru...

UAE, Misar, Tunisia, Lebanon aur Bahrain ne bain ul aqwami parwazein shuru kar dein

Dubai: 5 Arab mulkoun ney yakam July se safri pabandiyan utha len hain aur parwazein bahaal kar dein lekin fazai companiyoun ko musafiroun ki sahet-o-salamati yakeeni bananay ke liye sakht hifazati tadabeer ka paband banaya gaya hai. Website ke mutabiq ab tak 5 Arab mumalik ney safri pabandiyan utha kar parwazein bahaal ki hain un mein se ek Misar hai jis ki fazai companiyoun ney 3 mah se ziyada arsay tak parwazoun par pabandi ke baad yakam July se bain ul aqwami parwazein shuru ki hain. Misar ney corona ki waba ke pesh-e-nazar 19 March ko parwazein moattal kar di theen.

Egypt Air neh 29 se ziyada shehroun ke liye barah-e-raast parwazein shuru karne ka elaan kiya hai. Egypt Air neh kaha hai ke tadreeji tor par deegar shehroun ke liye bhi parwazein shuru kar di jayen gi. July ke pehlay haftay mein Europe mumalik ke 13 Airports, Africa ke 4, Mashriq wasti ke 4 ( Dubai , Abu Dhabi, Sharjah aur Beirut ) aur shumali America ke 3 Airports ke liye parwazein chalaye jayen gi.

UAE ki Emarat Air ney bhi yakam July se makhsoos sharait ke sath parwazein shuru kar dein. Beroun mulk muqeem tarkin watan ko Emarat wapas laane ke liye parwazein bahaal ki gayi hain. Emarat Air ney yakam July se duniya ke 52 shehroun ke liye parwazoun ka elaan kiya.

Tunisia 27 June ko apne Airports bain ul aqwami parwazoun ke liye khol chuka hai. Yahan 3 mah se zayed arsay se parwazein band theen. Tunisia mein sab se pehli parwaaz France se Carthage pohanchi. Ye France Air ki parwaz thi. Bahrain ne bhi yakam July se Athens aur Cairo ke liye parwazein shuru kar dein. Bahrain ne apne yahan anay walay ghair mulkioun par pabandi lagai hai ke wo sahet iqraar nama pesh karen aur 14 din tak inhen Quarantine mein rehna hoga.

Lebanon panchawan Arab mulk hai jis ne yakam July ko R Rafic Hariri Airport bain ul aqwami musafiroun ke liye khol diya hai. Hifazati zawabit aur House Association ki pabandi ke sath baher se anay walay musafiroun ka kher muqaddam shuru kardiya gaya.