Friday, May 10, 2024
HomeSliderUAE mein Schools dobarah khulnay ke baad mustamla nasabi kitabon ki maang...

UAE mein Schools dobarah khulnay ke baad mustamla nasabi kitabon ki maang mein izafa

Dubai: UAE mein schools ki kushadgi to hogayi hai lekin jahan ek janib talba ko school anay aur jane ke douran corona ka khadsha laga rehta hai wahein school ke akhrajaat ke talluq se walidain pareshan hai. Un halaat mein mustamla kitabon ki UAE mein maang kaafi badh chuki hai kyunkay mustamla kitaaben Schools ke budget ko kam karte hue walidain ke liye raahat ka samaan hosakti hain.

Mutahidda Arab Emirate mein darsi kutub mein tabadlah karne ke iqdaam mein sab se agay rehne walay Book Hero ke Montserrat Martin kaha hai ke muashi dabao se mutasirah khandan sab se ziyada pareshan hain aur un ki saari tavajja mustamla kitabon par markooz hai. Mulazim apni mulazimat kho betha hai ya thankhowa mein katoti ka saamna kar raha ho aur is ke teen ya chaar bachay hon un halaat mein bachon ki taleem aur naye kitabon ki farahmi namumkin hai is liye mustamla kitabon ki maang badah chuki hai.

Kitaab hero 26 September tak Oasis Mall Atrium mein muqami bashindon ko taleemi kitabon ka tabadlah karne ke liye ek muft platform muhayya kar raha hai. Jahan kitabon ki tabdeeli bhi mumkin hai.

Kitabon ki tabdeeli ka yeh iqdaam 2016 mein shuru kiya gaya tha aur ab rawan saal corona ki wajah se is sahoolat se istifada karne walay afraad ki tadaad taqreeban 30 se ​​40 hazaar honay ki umeed hai.

Zaraye ne kaha hai ke jab khandano ko is programme se faida uthatay hue dekhte hain tu intezamia ko itminan hota hai. Kyunkay agar loog 10 kitaaben le kar atay hain to, Woh un kitabon ke badlay 10 deegar kitaaben le jatay hain jo un ke bachon ko taleemi saal ki zaroorat hai. Agar woh tabadlah karne ke liye kisi kitaab ke sath nahi aasakte hain to bhi koi harj nahi ke woh 10 ya 20 Dirham taq kam qeemat par kitaaben khareed satke hain.