Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsUAE mein mulazmeen ko raat mein duty karne ki ijazat

UAE mein mulazmeen ko raat mein duty karne ki ijazat

Dubai : Is waqt Ramadan-ul-mubarak ke rozay shadeed garmi mein rakhay jarahay hain aur is wajah se din mein mulazmat anjaam denay walon ke liye mushkilaat horahee hain lekin zara sochen ke din ki mulazmat ho aur garmi khaliji mumalik ki ho to phir mulazim par kiya  guzarti hogi lekin ab mutahidda arab amarat ke mulazmeen ko bohat badi raahat mil gayi hai kyunkay inhen ab din ke bajaye raat mein mulazmat anjaam dainay ki ijazat mil gayi hai .

Tafseelaat ke mutabiq Dubai ki tamirati companiyon ney mukhtalif mansoobon mein kaam karne walay mulazmeen ko din ke bajaye raat ke auqaat mein duty karne ka mauqa faraham kar diya. roza daar mazdooron ko din ki mushaqqat se bachanay ke liye baaz deegar companiyon ney mulazmat ke auqaat subah paanch bajey se din ke 11 bajey tak mutayyan kardiye hain .

Dubai aur Abu Dhabi  ke alawa Emirates ke mukhtalif shehron mein din ke waqt shadeed garmi hoti hai jis ke baais khulay aasman taley mehnat mazdoori karna intahi mushkil kaam hai. companiyon ki janib se mazdooron ko Ramadan ke douran raahat dainay ki peshkash ko wizarat-e-insani wasail ney saraha hai. wizarat ney kaha hai ke roza daar mazdooron ko din ke waqt aaram karne ka mauqa dainay se companiyon ki insaaniyat nawazi zahir hoti hai .

Wizarat ney sarkari wo niji shobo mein kaam ke auqaat aath ghantay se kam karkay chay ghantay karne ka elaan kiya  hai. Wizarat-e-insani taraqqi ke zaraye ney kaha hai ke tamirati companiyon ki janib se raat ke waqt duty ka elaan ikhtiyaari hai.

Mazdoor aur khuley aasman taley kaam karne wala amlah agar chahay to din ke bajaye raat ke waqt duty anjaam desakta hai. doosri janib baldia, tamirat aur mansoobah bandi ke mehakmay ney tamirati companiyon ko din ke bajaye raat ke waqt kaam karne ka ijazat nama dainay ki sharait aed kar dein. companiyon ko mazdooron ki hifazat ke ilawa roshni ka munasib intizam karne ki bhi hidaayat di gayi hain. mehakmay ney companiyon ko mazeed hidaayat di hai ke mazdooron ki duty raat bhar na rakhi jaye . –YTN STAFF