Sunday, May 19, 2024
HomeSliderUAE mein dakhlay ke liye Corona test ko aasaan kardiya

UAE mein dakhlay ke liye Corona test ko aasaan kardiya

Abu Dhabi: Abu Dhabi Media Office ney kaha hai ke UAE ke dar-ul-hukoomat mein daakhil honay ke qawaid ko ek baar phir Update kardiya gaya tha aur aaj se nafiz Al amal hoga jis mein kayi ek aasanyan Corona test muta-arif ki gayi hain. UAE ke National Emergency and Cares Department ney kaha hai ke rahaishion ko pichlle 48 ghanton se PCR test ya DPI test ka manfi nateeja pesh karne ki zaroorat hogi. DPI test ke nataij ke liye ab kisi sabiqa PCR test ki zaroorat nahi hai.

Twit mein kaha gaya hai ke hafta 5 September se, Rehaishi aur zaireen manfi PCR ya DPI Corona test ka nateeja mousool honay ke 48 ghanton ke andar andar Abu Dhabi ke zareya UAE mein daakhil ho saktay hain. DPI test ke nataij ko ab pehlay walay PCR test ki zaroorat nahi hogi. Mazeed yeh ke agar koi rehaishi ya mulaqati UAE mein chay din se ziyada rehna chahta hai to PCR ke izafi test ki zaroorat hoti hai. Abu Dhabi media office nay kaha ke rahaishion aur anay walon ko jo Abu Dhabi UAE mein lagataar chay din ya is se ziyada qiyam karte hain, Muashray ki sehat aur hifazat ke tahaffuz ke liye ab har doray ke chatay din PCR test dena hoga.

Arab UAE neh pichlle mahinay coronavirus ka philav roknay ke liye nai kamyabi haasil ki hai. Kutton se jasoosi ke zariye Novel coronavirus ka pata laganay mein duniya ka pehla mulk ban gaya. Duniya ke dosray mumalik mein abhi tak yeh tareeqakar tajarbay aur tarbiyat ke marhaly mein hai. Tarbiyat yafta kutta chand second mein is baat ka pata laga sakta hai ke koi shakhs virus se mutasir hai ya nahi. Is tareeqakar ke baais mazeed International AirPorts ke khulnay aur parwazon ki badhti huvi tadaad ke sath Airports par musafiron ki hifazat mein izafah hojaye ga.