Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsUAE mein corona ke liye kutton se jasoosi ke nataij

UAE mein corona ke liye kutton se jasoosi ke nataij

Dubai: UAE neh coronavirus ka philao roknay ke liye nai kamyabi haasil ki hai. Kutton se jasoosi ke zariye naye coronavirus ka pata laganay mein duniya ka pehla mulk ban gaya. Duniya ke dosray mumulik mein abhi tak ye tareeqakar tajarbay aur tarbiyat ke marhaly mein hai. Tarbiyat yafta kutta chand second mein is baat ka pata laga sakta hai ke koi shakhs virus se mutasir hai ya nahi. Is tareeqakar ke baais mazeed International Airports ke khulnay aur parwaazon ki badhti hui tadaad ke sath Airports par musafiron ki hifazat mein izafah hojaye ga.

Tafseelaat ke mutabiq tarbiyat yafta jasoos kuttay soonghnay ki zabardast salahiyat rakhtay hain. Police ahem maqamat ki hifazat, Tijarti marakaz, Ghayr-maa’mooli taqrebaat ko khatraat se bachanay ke liye tarbiyat yafta kutton se faida uthaya ja raha hai. Jasoos kutton ko novel coronavirus se mutasireen ka pata laganay ki khusoosi tarbiyat di gayi hai. Emarat nay mukhtalif mulkon se apne yahan anay walon mein se mutasireen ka pata laganay ke liye jasoos kuttay istemaal kiye hain. Is ka musbit pehlu ye hai ke kisi bhi ensaan ki baghal se paseenay ka namona le kar tarbiyat yafta kuttay ko songhya jata hai. Is mein kuttay ka ensaan se barah-e-raast vaastaa nahi padta. Kutta soonghtay hi bata deta hai ke mutaliqa shakhs corona mein mubtala hai ya nahi.

Emarati wizarat dakhla ne jasoos kutton se corona ke mutasireen ka pata laganay ke liye qaumi team tashkeel di hai jis mein France ke Al Fora School ki numaindagi shaamil hai. Ye school Europi mumulik mein maweshion par kaam karne wala sab se qadeem idaara hai. Team mein wizarat sahet, Mehakma custom aur police ki numaindagi bhi. Sab ney mil jul kar kutton ko training di aur misbet nataij bar aamad hue. Qaumi team ki khusoosi teams ko Airports par tainaat kiya gaya hai taakay wo kuttay se barah-e-raast raabtey ke baghair mutasirah afraad ki baglon se liye jaaney walay namonon ki jaanch ke amal ki nigrani karsake.