Dubai: UAE mein corona ke 435 naye mamlaat samnay aaye hain jis ke baad jumla mutasireen ki tadaad badh kar 65 hazaar 341 hogayi. Pichlle 24 ghanton mein 113 afraad sehat yab hue. Shifa yab honay walon ki tadaad 5822 hogayi hai. UAE ki sarkari News Agency WAM ke mutabiq pichlle 24 ghantay mein 1 shakhs ki halakat hui hai. Corona se marnay walon ki tadaad 367 hogayi.
Bayan mein kaha gaya ke pichlle chobees ghantay ke douran corona ke 72 hazaar naye test kiye gaye hain. Darin Isna Mutahidda Arab Emirate ke wazeer-e-sahet Abdul Rahman Al Owaisi ney kaha hai ke UAE ney Covid-19 ke 60 lakh se ziyada laboratory test kiye ja chuke. UAE coronavirus se nimatnay aur is ke muzir asraat se muashray ko bachanay ki hikmat-e-amli ke tehat Covid laboratory test kara raha hai.
Emarat Al Youm ke mutabiq Abu Dhabi mein UAE hukoomat ki janib se media ko di jane wali tafseelaat ke douran wazeer-e-sahet ne itminan dilaya ke iqtisadi, Samaji aur tibbi mahazon par waba se nimatnay ke liye paishgi hifazati intizamaa ka silsila jari rakha jaye ga. Unhoun ne kaha kay UAE ne haliya ayyaam ke douran Mohammad Bin Rashid medical research center qaim kiya hai. Ye medical tahaqeeq ko jadeed khutoot par ustuwar karne mein ahem izafah saabit hoga.
Abdul Rahman Al Owaise ne aitraaf kiya ke guzashta do hafton ke douran UAE mein coronavirus ke musadeqa mamlaat mein izafah dekhnay mein aaya hai. Ye is baat ki alamat hosakti hai ke aindah ayyaam mein virus se mutasireen ki tadaad tashweesh-naak hadd tak badh jaye. Sab ko SOP ki pabandi karna hogi. Is silsilay mein samaji faaslay ka ehtram, Mulakaton ka silsila mehdood aur taqrebaat se guraiz karna hoga.