Dubai: UAE ne Barakha mein Arab duniya ke pehlay Nuclear plant ke ibtidayi khidmaat ka kamyabi se aaghaz kar diya hai. Emarat ki sarkari news agency WAM ke mutabiq Barakha johri tawanai plant ke unit one ka kamyabi se aaghaz Emarat Nuclear Anergy Corporation ki zeli company nawah Energy company ne kiya hai.
Dubai ke hukmaran Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne twitter par apne pegham mein kaha ke team ne eendhan bhadnay ka amal kamyabi se mukammal karliya aur jame test kiye. Apne bhai Mohammad Bin Zayed ko is kamyabi par mubarakbaad deta hon. Emarati news agency ke mutabiq Barakha ke units mein se ek ka fa-aal hojana UAE ke pur aman johri tawanai programme ke liye tareekhi sang mil hai kyunkay ye is amal ka hissa hai jis ke tehat mulk ke liye aindah 60 saal tak bijli peda hosakay gi.
Unit one UAE ke Grid Station se munsalik kiya jaye ga jo mutadid tests ke baad bijli rehaishi ilaaqon aur dafatir ko muhayya kere ga. Emarat nuclear energy Corporation ke Chief Executive officer Mohammad Ibrahim Al Hamdi ne kaha hai ke aaj haqeeqi maino mein UAE ke liye tareekhi lamha hai. Ye ek dahai se ziyada ke vision,Strategic mansoobah bandi aur is programme ke mazboot intizam ka nateeja hai.
Ab hum mulk ko bijli ki zaroriat ka ek chothai tak faraham karne ke hadaf ke ek aur qadam qareeb poanch gaye hain. UAE saaf aur mehfooz bijli peda karne ke liye johri tawanai plant chalanay wala Arab duniya ka pehla aur duniya ka 33 wahn mulk hai.