Sunday, May 5, 2024
HomeSliderUAE mein 20 taa 40 sala afraad Corona se ziyada mutaser

UAE mein 20 taa 40 sala afraad Corona se ziyada mutaser

Dubai: UAE mein guzashta do ek roz mein corona ke 70079 test kiye gaye hain. Mutahidda Arab Emirate ki wizarat sahet neh un maaynon ke baad 424 afraad ke Covid-19 ka shikaar honay ki tasdeeq ki hai. Ab tak Emirate mein 20 se 40 saal ki omar ke loog sab se ziyada is mohlik waba ka shikaar hue hain. Emirate ki sarkari khabar-rasan Agency WAM ke mutabiq wizarat sahet neh ek bayan mein guzashta 24 ghantay mein 112 mareezon ke sahet yab honay ki ittila di hai. Is terhan ab mulk mein sahet yab honay walon ki tadaad 48408 hogayi hai.

UAE mein ab tak Emirate mein corona ke 66617 mareezon ki tasdeeq ki gayi hai aur is mohlik virus se 372 mareezon ki wafaat hui hai. UAE ki wizarat sahet ki tarjuman Dr Farida Al-Husni ne kaha hai ke Covid-19 se bachao ke liye ahteyati tadabeer ki paasdari ek qaumi zimmay daari hai.

Unhoun ne kaha ke guzashta do roz mein coronavirus ke mareezon ki tadaad mein izafah baaz logon ke hifazati tadabeer ikhtiyar nah karne ki wajah se huwa hai. Unhoun ne samaji mil jol ke waqt tajweez kardah faasla barqarar nahi rakha, Cheharon par mask nahi pehnay, Unhoun ney khandan ke sath samaji sar garmion mein hissa liya hai aur wo ek dosray se haath milatay rahay hain.

Dr Farida ne mazeed kaha hai ke 20 se 40 saal ke darmain omar ka group UAE mein coronavirus se sab se ziyada mutasir huwa hai. Is ki badi wajah un ka ye ye ghalat tasawwur raha hai ke nojawani ki wajah se un mein qowat mudafat ziyada hai aur wo is mohlik virus se bachay rahen ge. Ek Emarati ohda daar ne khabardaar kiya ke agar Covid-19 ke mamlaat ki tadaad mein izafah jari rehta hai to phir mulk ke baaz ilaqon mein raat ko dobarah curfew nafiz kiya ja sakta hai.