Dubai: UAE johri Plant ko National Grid se munsalik karne mein kamyaab hogaya hai jis se bijli ki zaroorat poori honay mein madad mileygi. Tafseelaat ke mutabiq kayi hifazati maayne karne ke baad UAE ke johri Plant National Grid ke sath munsalik karne mein kamyabi haasil huvi hai.
Arab duniya mein pehli martaba koi mulk johri tawanai ke zariye bijli peda karne mein kamyaab huwa hai. Barakah johri tawanai Plant ke Unit One par yakam August se kaam shuru huwa tha. Mutahidda Arab Emirate Nuclear Energy Corporation ke sarbarah Mohammad Ibrahim ne kaha hai ke Unit One ko mehfooz aur kamyaab tareeqay se National Grid ke sath munsalik kar ke hamaray mission par amal daraamad ka aaghaz ho gaya hai jis ke tehat qoum ki taraqqi ko mazeed taqwiyat miley gi. Unhoun ne kaha ke hamein apni qoum aur Technology par mukammal aetmaad hai, Commercial mansoobon mein mazeed taraqqi karen ge.
Unit One Mutahidda Arab Emirate ke Grid Station se munsalik kiya jaye ga jo mutadid tests ke baad bijli rehaishi ilaaqon aur dafatir ko muhayya kere ga. Mutahidda Arab Emirate nuclear Energy Corporation ke Chief Executive Officer Mohammad Ibrahim Al Hammadi ne kaha hai ke aaj haqeeqi maino mein Mutahidda Arab Emirate ke liye tareekhi lamha hai. ye ek dahai se ziyada ke Vision, Strategic mansoobah bandi aur is programme ke mazboot intizam ka nateeja hai.
Mohammad Ibrahim ne mazeed kaha hai ke baqi teen units bhi mukammal ho jayen ge, Aglay 60 saal tak 25 feesad bejli ki zaroorat un chaar johri Plants ke zariye poori ho sakay gi. Unit One ke Grid Station se munsalik honay ke baad bijli rehaishi ilaqon aur dafatir ko muhayya ki jaye gi. Barakah johri tawanai Plant ke unit one ka kamyabi se aaghaz Nuclear Energy corporation ki zeli company nawah Energy Company ne kiya tha. Mutahidda Arab Emirate saaf aur mehfooz bijli peda karne ke liye johri tawanai Plant chalanay wala Arab duniya ka pehla aur duniya ka 33 wahn mulk hai.