Friday, April 26, 2024
HomeSliderUAE ka khalayi mission hope mareekh ke madaar mein daakhil, arab duniya...

UAE ka khalayi mission hope mareekh ke madaar mein daakhil, arab duniya mein jashn ka mahol

Dubai: Is waqt saari duniya mein mareekh ki tehqiqaat ki daudh chal rahi hai aur is daudh mein UAE ne ek kamyabi haasil ki hai jaisa ke is ka khalayi mission hope prob mah ke taweel khalayi safar ke baad kamyabi mareekh ke midar may dakhil hogaya hai jiske Mohammad bin Rashid khalayi markaz mein is kamyabi par jashnn ka samaa hai.

Abu Dhabi ke wali ehad Sheikh Mohammad bin zayd aur Dubai ke hukmuran Sheikh Mohammad bin rashid ne khalayi markaz mein mojood amlah ko is kamyabi par mubarakbaad di hai. Project ke director ne is Badi kamyabi ka elaan karte hue kaha ke UAE ke awam, arab aur muslim mumalik ke liye hum mareekh ke madaar mein kamyabi se daakhil honay ka elaan karte hain. Allah ka shukar hai.

Is kamyabi ke baad Abu dhabi  ke wali ehad Sheikh Mohammad ban zayd ne tweet kya aur kaha ke mareekh tak khalayi mission ka safar Sheikh zayd se shuru hua tha. Khaliayi mission working team ne usay aaj mantaqi injaam tak pohancha diya hai. unhon ne mazeed kaha ke hum emarati awam, ummat-e-Musalmah, arabs aur duniya bhar ke insanon ko 2021 mein mareekh par pehlay khalayi mission ke pohanchanay ki mubarakbaad paish karte hain. aaj se arbo ki scienci tareekh ka naya daur shuru hogaya. is door ka unwan etemaad hai. khud par apne nojawanon aur arab aqwam par etemaad. yeh etemaad hai ke hum duniya ki deegar aqwam ke hareef ban sakte hain.

Sheikh Mohammad ban zayd ne ek aur tweet mein kaha hai ke khalayi mission ke mareekh pohanchanay par Emirates apni 50 win saalgirah taqrebaat shuru kar raha hai. hamari taqrebaat mukhtalif hain. scienci, tamadduni aur ilhaami taqrebaat hain. hum taraqiyati misaal qaim karne ki koshish kar rahay hain. yeh misaal arab nojawanon ko pegham day rahi hai ke hum apna ek tamaddun rakhtay hain aur apne tamaddun ko jald Bazyab karlenge  Allah ke hukum se nojawanon aur unke baazuon ke bal par hum aisa kar sakenge.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke mutahidda arab amarat, china aur America sab ne July 2020 mein mareekh ke liye apne apne mission rawana kiye thay. yeh woh waqt tha jab mareekh aur zameen ek dosray ke intehai qareeb thay chunancha tenu mumalik ne is ka faida uthatay hue mareekh par mission bheje thay. Mission ki kamyabi se khaleeji riyasat mutahidda arab Emirates mareekh par pohanchanay wala panchawan mulk ban gaya hai. yeh mission aik aisay waqt mein mareekh par pouncha hai jab mutahidda arab Emirates ki reastain apne ittehaad ki 50 win saalgirah bhi mana rahi hain. China ka mission UAE ke mission ke aglay roz mareekh par pohanchega aur is terhan china mareekh par pohanchanay wala chhata mulk ban jayega.