Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderUAE. Israel muahiday par duniya ka mila jula radd-e-amal

UAE. Israel muahiday par duniya ka mila jula radd-e-amal

Washington: Israel aur UAE ke mabain muahiday ka aalmi satah par kher muqaddam kiya gaya hai. Is hawalay se Americi wazeer kharja Mike Pompeo nay kaha hai ke Israel aur UAE ke mabain taluqaat ustuwar karne ke liye moahida durust simt mein ahem qadam hai.
Doosri janib Palesteeni sadar Mahmood Abbas nay muahiday ke hawalay se fori ijlaas talabb karliya hai jis mein Americi sadar ki salisi mein tay kiye jane walay muahiday ka wasee satah par jaiza liyajaye ga. Muahiday ke hawalay se Misri sadar Abdel Fattah Al-Sisi nay kaha hai ke moahida khush aaind hai, Mashriq waste mein qiyam aman ki koshish karne walon ke iqdaam ku saraha te hon.

Media ke mutabiq Misri sadar nay muahiday ke hawalay se apne Twit mein mazeed kaha sah friqi muahiday ke tamam pehloo ka intahi bareek beeni se jaiza liya jo America, Israel aur brother mulk UAE ke mabain tay huwa hai. Muahiday se Israel ki janib se Palesteeni araazi ko zam karne ka amal ruk jaye ga.

Darin Isna Arab media ke mutabiq Bartanwi Wazeer-e-Azam Boris Johnson neh is muahiday ko bohat badi khush khaberi qarar dete hue is ka kher muqaddam kiya. Bartanwi Wazeer-e-Azam neh apne Twit mein kaha UAE aur Israel ke taluqaat mamool par laaye jaany ka faisla bohat badi khush khaberi hai, Ye meri derina khwahish thi maghribi kinare ki towsee mazeed agay nah badhay aur aaj is muahiday se wo mansoobay ruk gaye, Ye muahiday ziyada pur aman mashriq wasti ki janib ek khush aaind qadam saabit hoga.

White House ke Senior Jared Kushner nay kaha muahiday ke baad UAE khittay mein America ke qareeb tareen itihadiyon mein shaamil hojaye ga. Americi democratic sadaarti umeed waar Joe Biden nay muahiday ko mustahkam mashriq wasti ki simt ek tareekhi iqdaam qarar dete hue kaha ke agar November mein intikhabaat jeet jatay hain to yahodi bastiyoun ki towsee ke liye Israeli aqdamt ki himayat nahi karen ge.

Aqwam mutahidda ke secretary general António Guterres ne kaha mashriq wasti mein aman-o-salamti ke liye jo bhi iqdaam kiya jaye ga is ka kher muqaddam karoon ga. Doosri janib UAE News Agency WAM ke mutabiq UAE ke wazeer mumlikat baraye umoor kharja Dr Anwar Gargash ne kaha hai ke UAE reyasti hal aur khittay mein qiyam aman ke liye Israel ko Palesteeni ilaaqon ke ilhaaq se roknay ki yaqeen dehani haasil karne mein kamyaab ho gaya.

Abu Dhabi ke Wali Ahad aur UAE ki musallah afwaj ke deputy supreme commander Mohammed bin Zayed Al Nahyan ne kaha ke Israel ko Palesteeni ilaqon ke ilhaaq se rokna ek ahem sefarti karnaama hai.