Thursday, May 16, 2024
HomeSliderUAE. Israel muahiday ko mustahkam bananay US ki koshish

UAE. Israel muahiday ko mustahkam bananay US ki koshish

Abu Dhabi: Emarat aur Israel ke darmain honay walay muahiday mein aaye din pesh-o-raft hora hee hai jis mein taaza tareen pesh-o-raft UAE Israel muahiday ko mustahkam bananay US ki koshish America aur Emarat ke aala ohdedaron ki Telephonic mulaqaat hai. Darin Isna Abu Dhabi ke Wali Ahad Mohammed bin Zayed Al Nahyan aur Americi wazeer kharja Mike Pompeo ke darmain mulaqaat huvi hai jis mein dono rehnmaon ne Emarat Israel muahiday sath aman muahiday ko mustahkam bananay ke tareeqon par tabadlah khayaal kiya hai.

Mohammed bin Zayed Al Nahyan nay Israel mein Benjamin Netanyahu se mulaqaat ke baad Mike Pompeo ke sath baat ki hai. Ye mulaqaat is tanazur mein bhi ahmiyat ki haamil hai kyunkay Americi wazeer kharja rawan haftay Mutahidda Arab Emarat ka dora karne walay hain. UAE Israel muahiday teesra Arab mulk hai jis nay Israel ke sath sefarti taluqaat qaim kiye hain jis ki Americi sadar Donald Trump nay muawnat ki hai.

Emarat nay 13 August ko Israel ke sath aman muahiday ka elaan kiya hai aur kaha hai ke Americi sadar Donald Trump Israeli wazeer-e-azam Benjamin Netanyahu aur Wali Ahad Abu Dhabi nay Telephone rabita karkay Israel aur Emarat ke darmain mukammal taluqaat qaim karne ka faisla kiya hai. Qabil zikar hai ke paiir ko Yaroshallam mein Americi wazeer kharja Mike Pompeo nay is umeed ka izhaar kiya hai ke Israel ke sath Mutahidda Arab Emarat ke muahiday ke baad is ka silsila aur agay badhay ga aur deegar Arab mumalik bhi is ka hissa bane ge.

Emirates Israel ke darmain huve haliya moahida ke baad aisa mehsoos hota hai ke duniya mein saf bandi shuru hochuki hai kyunkay jahan ek janib is moahida ke baad Arab aur maghribi duniya do hisson mein munqasim hoti deekhaee day rahi hai