Washington: Amrici sadar Donald Trump ne kaha hai ke UAE aur Israel ke darmiyan aman moahida par dastakhat aaindah 3 hafton ke douran kardiye jayenge. muahiday par Israeli Wazeer-e-Azam Benjamin Netanyahu aur Abu dhabi ke wali ehad sheikh mohammed bin zayed al nahyan dastakhat karenge. is muahiday ke tehat Israeli mazeed Falasteeni araazi zam karne ke mansoobay par amal rok dega.
Trump ne mazeed kaha hai ke mein mazkoorah dono shaksiaat ka White House mein jald khaer-maqdam karne ka khwaahan hon. is silsilay mein dono shaksiaat Washington ayengi. is se qabal Trump ne bawar karwaya tha ke UAE aur Israel ke darmiyan moahida ek tareekhi lamha hai. unhon ne elaan kiya ke Israel aur UAE sarkari tor par taluqaat ustuwar karenge. Amrici sadar ne dilerana qayadat par UAE aur Israel ka shukriya ada kiya.
Amrici sadar Donald trump, Israeli Wazeer-e-Azam Benjamin Netanyahu aur Abu dhabi ke wali ehad sheikh mohammed bin zayed al nahyan ne telephonic raabtey mein Israel aur mutahidda arab amarat ke darmiyan mukammal soorat mein do Tarfah taluqaat ustuwar karne par ittafaq raye ka izhaar kiya tha. mutahidda arab amarat ki sarkari khabar rasan agency ke mutabiq ye baat teeno fareeqon ki janib se jari ek mushtarqa bayan mein batai gayi.