Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderUAE. Israel moahida mashriq wasti ke aman ke liye behtar qadam: Misar

UAE. Israel moahida mashriq wasti ke aman ke liye behtar qadam: Misar

Cairo: Misar ke sadar Abdel Fattah El-Sisi ney kaha hai ke UAE aur Israel safarti taluqaat mamool par laane wala moahida Palestinies ke haqooq aur Israeli salamti ke tahaffuz ke zareya ilaqai aman ki taraf ek qadam ki numaindagi karta hai. Mutahidda Arab Emirate aur Israel ney America ke zair-e-behas muahiday ke tehat taluqaat mamool par laane par ittafaq kiya hai jis ke tehat yahodi riyasat ney Palestine ke ilaqon ke ilhaaq ke mansoobon ko moattal kardiya hai. Taham Palesnies ney is moahida ki muzammat ki hai aur usay ghaddari se tabeer kiya hai.

Israeli Wazeer-e-Azam Benjamin Netanyahu ke sath phone par guftagu karte hue El-Sisi ney kaha ke mashriq wasti mein kisi bhi aisay iqdaam se jo aman qaim kere ga is ki himayat ki jaye gi. Unhoun ney un iqdamaat ka khair muqadam kiya jo Palesteeni awam ke jaaiz haqooq ke tahaffuz, Un ki azad riyasat ke qiyam aur Israel ko salamti faraham karne ki ijazat dete hain.

Unhoun ney kaha ke Mutahidda Arab Emarat. Israel ka 13 August ko honay wala moahida is simt mein ek qadam hai. Abdel Fattah El-Sisi ney kisi bhi yaktarfa faislon ke khilaaf mutnabba kiya jis se aman ke imkanaat ko nuqsaan puhanche ga aur unhoun ney Israel aur Palestine ke mabain mazakraat ka mutalba kiya. UAE Israel ke sath taluqaat mamool par laane par mutfiq honay wala teesra Arab mulk ban gaya, 1979 ke baad Misar ney aman muahiday par dastakhat kiye aur 1994 mein Urdan ney bhi is muamlay par amal kiya.

Arab rehnumao ney kayi dahon puranay Palesteeni Israel tanaza ke hal ke liye do reyasti hal ki himayat ki. Unhoun ney 1967 ki chay roza jung se qabal sarhadoon par mabni riyasat ke liye Palestine ke mutalibaat ki himayat ki jab Israel ney maghribi kinare aur Gaza par qabza karliya tha.