Saturday, May 18, 2024
HomeSliderUAE aur Israel ke darmiyan mawaslati raabtey bahaal

UAE aur Israel ke darmiyan mawaslati raabtey bahaal

Dubai: UAE aur Israel muahiday ke baad dono mulkon ke darmain Telephone lines khol di gayi hain jis ke baad Arab UAE se ba aasani Israel mein kisi bhi number par phone kiya ja sakta hai. Arab media ke mutabiq itwaar ko UAE aur Israel ke wazraye kharja  Sheikh Abdullah bin Zayed aur Israeli wazeer kharja Gabi Ashkenazi ke darmain Telephonic raabtey se dono mumalik ke darmain Phone Lines kholnay ka iftitah kiya gaya hai. Is se qabal dono mumalik ke shehrion ke liye Telephonic rabita mumkin nahi tha.

Israeli wazeer muwasilat ne dono mumalik ke darmain taluqaat qaim karne ke hawalay se is pesh raft ko ahem qarar diya hai. Yaad rahay ke jumaraat ko Israel aur UAE ke darmain tareekhi moahida tey huwa hai jis ke tehat dono mumalik ke darmain safarti taluqaat mukammal tor par mamool par aa jayen ge.

Israeli wazeer muwasilat ne Twitter par UAE ko Telephone linen kholnay par mubarakbaad di. Unhoun ne kaha ke is ke baad se mutadid muashi mawaqay peda hon ge, Aur is qisam ke aetmaad bahaal karne walay iqdamaat dono mumalik ke mafadaat ke farogh ke liye zurori hain.

Unhoun ne apne Twitter pegham mein kaha ke mawaslati raabtey bahaal honay ke baad mutadid muashi mawaqay peda hon ge aur aetmaad bahaali ke iqdamaat se dono mumalik ke mafadaat ka farogh mumkin hoga. Dono mumalik ke elaan ke baad Arab UAE se Israel Phone calls melai ja sakti hain aur Israeli News Websites jo pehlay Emarat mein band theen ab kholi ja sakti hain.

Doosri janib UAE aur Israel ki companiyon ne coronavirus par mushtarqa tehqeeq ki gharz se muahiday par dastakhat kiye hain. UAE sarkari News Agency WAM ke mutabiq UAE APEX National Investment aur Israeli Tera Group ke mabain ko muahiday par dastakhat hue hain.

Rawan haftay Israel aur UAE ke darmain aman moahida tey honay ke baad Coronavirus par mushtarqa tehqeeq ka moahida kiya gaya hai. APEX chairman  Khalifa Yousef Khouri ne kaha ke Tera Group ke sath moahida UAE aur Israeli karobari shobo ke darmain tijarti, Muashi aur muasar shiraakat daari ke aaghaz ke liye kiya jaany wala pehla moahida hai.

Yousuf Khouri nay is muahiday ko insaaniyat ki khidmat qarar dete hue kaha ke is se coronavirus par jari tahaqeeq ko taqwiyat ko miley gi. Dono companiyon nay coronavirus ki tashkhiz ke amal ko taiz karte hue corona ka test nataij jald samnay anay ki umeed ka izhaar kiya hai. Tera Group ke chairman Oren Sadiv nay muahiday ke maqasid mukammal tor par haasil karne ki umeed karte hue kaha ke is ke muashi fawaid se sab ko faida puhanche ga.