Friday, March 29, 2024
HomeOthersOpinionTwitter sarfeen ney CAB ki himayat ke liye apni mazhabi shanakht ko...

Twitter sarfeen ney CAB ki himayat ke liye apni mazhabi shanakht ko badal liya

Hyderabad: Twitter par In dinoun shehriat tarmeemi Bill ko le kar kaafi charchay ho rahay hain. ALT news ke mutabiq,Twitter ke mutadid sarfeen, jinhoun ney musalman honay ka daawa kiya hai, wo Twitter par shehriat tarmeemi Bill ( CAB ) ki himayat karne ka elaan karte hue mukhtalif matan ko share kiya hai. Sarfeen ney apni apni raye likhi. ek ney likha ke mai musalman hoon aur CAB ki himayat karta hoon“.

Dosray Sarif ney likha mai apne musalman bhaiyon ki taraf se mulk bhar mein shuru kiye gaye ehtijaj ki sakhti se mazmmat karta hoon, inhen ya to Bill samajh mein nahi aaya ya un ke sath heera pheri karli gayi hai. ya wo jaan boojh kar hukoomat ko ye siyasi iqdaam qarar day rahay hain lekin mujhe is par fakhr hai.

Ye Twitter par Bill ki himayat ka elaan, 11 decemeber 2019 ko parliament mein shehriat tarmeemi Bill ke Manzoori ke paish-e-nazar samnay aaya hai. mazkoorah shehriat tarmeemi Bill ko sadar ramnath kovind ney 12 decemeber ko apni manzoori dedi hai. is qanoon ke tehat Afghanistan , Bangladesh aur Pakistan jaisay padosi mulk se aanay walay tarikeen-e-watan ko hindustani shehriat dene ki koshish hai.

Taham, jab ALT news ney is act ki himayat karne walay logoun ke profiles aur pichle tweets ko dekha to, un mein se kayi logoun ki shanakht hinduoun ke tor par hui. jinhon ney shehriat tarmeemi Bill ki himayat ke liye apni mazhabi shanakht ko tabdeel kar liya. –YTN STAFF