Sunday, May 19, 2024
HomeSliderTurkey se Yunnan faraar honay wali sahafi kisi aur mulk jaane ki...

Turkey se Yunnan faraar honay wali sahafi kisi aur mulk jaane ki khwahan

Athens : Is waqt Turk ki ek khatoon sahafi ki daastaa’n khabroun ki zeenat bani hui hai jo kay turkey se rah faraar ikhteyar karte hue Yunnan pohanch gayi hain lekin woh ab yahan se kisi aur Europi mulk jaaane ki khwaahan hai.

Turkey ke junoob mashriqi shehar se talluq rakhnay wali kurd khatoon sahafi nay Athens mein guftagu karte hue apni daastaa’n bayan kee. Unhoun ne kuch arsa pehlay turkey se faraar hokar yonnani dar-ul-hakoomat pohanchanay mein kamyaab ho gayeen.
Unhoun ne kaha hai ke turkey mein sahafion ki soorat-e-haal kharab hai. wahan har khabar ke shaya karne ke sath hi hamein Turk security hukkaam ke ehkamaat par giraftari ka ya phir apne idaray ki bandish ka khauf darpaish hota tha. turkey ki hukoomat kurd sahafi par dehshat gard jamaat mein shamoliat aur is jamaat ke mafaad mein propaganda ka ilzaam aed karti hai.

Turk adalat ki janib se sahafi ke khilaaf 6 saal 3 mah aur 22 din qaid ki saza sunai gayi. Unhoun ne wazeh kiya ke is ne adalti samaaton ke douran apna difaa kiya aur bataya ke woh ek sahafi hai jisne kabhi hathyaar nahi rakha taham adalat ne iske bawajood kurd khatoon sahafi ke khilaaf faisla jari kiya.

Unke wakeel ne appeal ki darkhwast dair ki taham is ke bawajood unka passport zabt kar liya gaya. Unhoun ne kaha ke Istanbul shehar mein iske khilaaf ek aur muqadma abhi tak chal raha hai. yeh muqadma social media par unki sar garmion se mutaliq hai taham abhi tak iska faisla samnay nahi aaya.

Sahafi ne haerat ka izhaar karte hue kaha ke turkey ki hukoomat jin juraim par mera ehatasab karna chahti hai un mein yeh bhi hai ke mein ne Twitter par kurdistan ke parcham ki tasweer ko pasand kyun kiya? kurd khatoon sahafi ka muaqqaf hai ke woh kuch arsa qabal turkey se faraar honay par majaboor hogayeen kyun ke woh bina khaye piye zindah reh sakti hain lekin izzat-e-nafs ke baghair zindagi nahi guzaar sakteen. yaad rahay ke kayi barson se sahaafat mein kaam karne wali sahafi ghair qanooni tareeqay se intehai mushaqqat amaiz safar ke baad yonani arazi pohnchain.

Unhoun ne kaha ke samandar ke rastay Yunnan mein daakhil honay se pehlay inhen 6 ghanton tak paidal chalna pada. Yunnan mein daakhil honay ke baad bhi woh 3 ghanton tak paidal chalti rahen. iske baad unhon ne khud ko muqami police ke hawalay kar diya. Wo kayi din tak Mahruse rahen aur phir jab police ne tasdeeq karli ke woh sahafi hain aur siyasi wujohaat ki bina par turkey se faraar hui hain to inhen riha kar diya gaya. Sahafi Athens pahonch to gayeen lekin yahan unke din mushkil se guzar rahay hain. lehaza ab woh kisi dosray Europi mulk pohanchanay ke liye koshan hain. –YTN STAFF