Tuesday, April 30, 2024
HomeSliderTurkey ne pehli Electronic Smart Car banali

Turkey ne pehli Electronic Smart Car banali

Ankara: Turkey ne bil akhir apne 60 sala khawab ko sharminda tabeer karliya hai jaissa ke is ne apni pehli Electronic Smart Car tayyar karli hai. Turkey ke sadar Rajab Tayyip Erdogan ne is mauqa par kaha hai ke Turkey ka 60 sala khawab sach saabit hogaya hai. Pehli Electronic Smart Car tayyar karli hai, is Car ka naam TOGG hai.

Tafseelaat ke mutabiq muqami tor par pheli Electronic Smart Car TOGG ki rounamai ki taqreeb mein sadar Rajab Tayyip Erdogan ne shirkat ki. ye Turkey Automobile 2022 mein market mein farokht ke liye tayyar hogi. Is silsilay mein iftitahi taqreeb Kocaeli ke ilawa Gebze mein munaqqid hui.

Sadar Rajab Tayyip Erdogan ne khitaab karte hue kaha ke ye hamaray liye ek tareekhi din hai, Hum ne guzashta 60 saal se dekhe gaye khawab ko poora karne ke liye din raat mehnat ki hai aur aaj is khawab ko haqeeqat ka roop diya hai.

unhoun ne mazeed kaha hai ke is khawab ko haqeeqat ka roop dainay ke liye 100 se ziyada tark Engineer din raat kaam kar rahay hain. Gaadi ke Designer aur Engineeroun ki koshisho se muqami Technology ko istemaal karte hue sad feesad muqami satah par hi usay tayyar karne ka mansoobah banaya hai.

Sadar ne mazeed kaha hai ke Turkey ne Car ki Technology mein duniya mein naya vision muta-arif karwaya hai aur ab wo is Electronic Smart Car ko duniya se muta-arif karwane ke liye tayyar hai. Is nai Car ki muqami Automobile Factory Bursa ke ilaqay mein qaim ki jarahi hai.

Gaadi mahol ko bhi aaloda nah karne ki salahiyat rakhti hai. Hamari gaadi sifar aloodgi ke ikhraj ke sath kaam karkay mahol ko kabhi bhi aaloda nahi keregi. Ye Electronic Smart Car 2022 mein Turkey mein poori charging ke bunyadi dhanchay ko bhi tyar karlegi.

Tark sadar ke bamujab hum is gaadi ko aalmi Brand dainay ki koshisho mein masroof hain aur usay baday pemanay par tayyar karne ke baad Europe mein farokht karenge aur ye Europe mein apni tarz ki wahid Class ki gadiyoun se hatt kar SUV model ki maalik gaadi hogi. –YTN STAFF