Saturday, May 11, 2024
HomeTrending NewsTurkey mein Social Media ko qaboo mein karne ki tayariyaan

Turkey mein Social Media ko qaboo mein karne ki tayariyaan

Istanbul: Turk sadar Tayyib Erdogan ne elaan kiya hai ke Turkey Social Media Platforms ko control karne ya inhen band rakhnay ke liye qawayed-o-zawabed muta-arif karwaye ga. Tafseelaat ke mutabiq Erdogan ne is baat ka elaan bakol un ke ahal khanah ki online tauheen ke baad kiya. Wazeh rahay ke Turkey ke wazeer khazana aur Erdogan ke damaad  Berat Albayrak ne Twitter par kaha ke un ke haan chouthay bachay ki paidaiesh huvi hai. Un ki is Twit ke baad kuch sarfeen ne Berat Albayrak ki ahliya Esra ki tauheen ki.

Turk police ne ek bayan mein kaha ke 19 mein se 11 sarfeen ke Account se Albayrak aur un ke ahal khanah ki tauheen karne walay mawaad ko shaya kiya gaya jis ke baad inhen hirasat mein le liya gaya. Erdogan ne apni AK Party ke arkaan se baat karte huve is baat ko duhraya ke un ki party social media ke istemaal ko control karne ke liye naye zaabtay muta-arif karwaye gi. Unhoun ne mazeed kaha ke haliya barsoun mein un Platforms par ghair ikhlaqi harkato mein izafah zawabit ki kami ki wajah se huwa hai.

Turk sadar ney mazeed kaha ye Platforms is qoum ke liye nahi hain. Hum jitni jaldi mumkin ho parliament mein ( ek Bill ) laa kar un ko band karna, Control karna chahtay hain. Unhoun ney kaha ke social media ki companiyoun ko majboor kiya jaye ga ke qanooni darkhwastoun ka jawab dainay ke liye wo Turkey mein numaindoun ka taqarrur kare jinhein abhi tak nazar andaaz kiya gaya hai.

Erdogan ney kaha Turkey mein Social Media ke Platforms ki janib se maali aur qanooni numaindagi ke liye jo bhi zurori huwa wo kiya jaye ga. Khayaal rahay ke April mein AK party ney ek musevida qanoon mein bunyadi tor par coronavirus ke khilaaf muashi iqdamaat ke baray mein social media par isi terhan ke faislay kiye they. Is musevida qanoon mein companiyoun se mutalba kiya gaya tha ke wo numainday muqarrar karen ya ye companian apni bendoth mein 95 feesad tak kami layein jis ka matlab ye hai ke logoun ki un tak rasai namumkin ho jaye gi.

Un iqdamaat ko baad mein musevida qanoon se nikaal diya gaya lekin opposition ke arkaan ne kaha ke wo agenday par wapas ayen ge. Ankara fouji karwai aur mojooda coronavirus ke douran social media ke mawaad ki khaas tor par sakhti se nigrani karta hai. Turkey ney June mein Twitter par is waqt sakht tanqeed ki thi jis mein Erdogan ki himayat karne walay 7000 se ziyada Accounts ko moattal kiya gaya tha. Turkey ne kaha tha ke company hukoomat ko badnaam kar rahi hai aur Turkey ki siyasat ko nai shakal dainay ki koshish kar rahi hai.