Thursday, May 2, 2024
HomeSliderTurkey mein Facebook ke khatema ka khadsha

Turkey mein Facebook ke khatema ka khadsha

Angara: Industry ke ek maahir ke mutabiq Turkey mein Facebook ke Company ke numainday ke taqarur nah karne ka faisla mulk mein is Social Media Platform ke liye ekhtataam ka aghaz karsakta hai. Yakam October se nafiz honay walay Turk hukoomat ke naye qawaid-o-zawabit ke tehat tamam Social Media farmon ko daftar kholnay ya bhaari jurmane, Ishtihari pabandi aur data ki pabandion ka saamna karna padh raha hai.

Un Companies ke numaindon ko bhi laazmi tor par ek turk shehri hona chahiye aur Networks par sarif ke data ko Turkey mein hi mehfooz karna hoga. Adad-o-shumaar se pata chalta hai ke Turkey mein kisi bhi dosray Europe mulk ke muqablay mein Facebook ke  zayada sarfeen hain. Uskudar University mein sahaafat ke Professor Suleyman Irvan ne kaha hai ke agar Facebook apne mobayyana moaqqaf par qaim raha to Turk sarfeen is platform ka khtama dekh satke hain.

Tajzia nigaron ka khayaal hai ke Facebook ka yeh iqdaam Turkey mein qanooni numaindagi lena hai ya nahi is baray mein Twitter samait deegar social media companiyon ke faislon par bhi assar pad sakta hai. Turkey ke naye qawaid ke tehat yakam October tak Turkey mein daftar nah kholnay wali farms ko November tak 10 million Turk lira ( 1.26 million Dollars ) jurmana ada karna pade ga agar yeh raqam December mein ada ki jati hai to woh 3 guna ho jaien ge. Is ki mazeed tameel se inkaar ke nateejay mein aglay saal January mein ishtihar par pabandi lagey gi aur aahista aahista May tak 90 feesad tak kam kardiya jaye ga ( jis ki wajah se is ek post ko kholnay mein 15 minute ka waqt lagey ga ).

Ek Tweet mein Cyber Rights ke maahir Yaman Akdeniz ne kaha agarche yeh tajassus ki baat hai ke hukoomat kya radd-e-amal zahir kere gi agar aap stakeholders ki raye liye baghair iqdaam karte hain to masla aur sangeen ho sakta hai. Turkey ke Media Watch Dog RTUK ne haal hi mein ek Program par broadcaster Halk  TV par jurmana ayed kiya hai jis mein ek sahafi Azerbaijan ki jamhoori riyasat ke tabsaray ke sath tanqeed ki hudood se bhi agay badh gaya hai.

Irvan ne kaha agar Social Media Companies Turkey mein apni karwaiyan khatam kardeti hain to is se media ke shobay ko bhi ek bohat bada dhaka lagey ga, Kyunkay Turk awam ziyada se ziyada Social Media Platforms ko khabron ke husool ke liye istemaal karte hain.