Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderTurkey mein ek aur Museum Masjid mein tabdeel

Turkey mein ek aur Museum Masjid mein tabdeel

Istanbul: Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan nay Istanbul ke ek aur qadeem Church aur Museum ko Masjid bananay ka hukum diya hai. Media ke mutabiq Istanbul mein mojood Kariye Museum ki imarat zamana qadeem mein esaion ki ibadat gaah ka darjah rakhti thi. UNISCO ki janib se aalmi virsa ka darjah panay wali Istanbul ki tareekhi imarat aaya Sophia ko adalti hukum par Masjid ke tor par istemaal karne ki ijazat diye jaanay ke ek mah baad ye hukum samnay aaya hai.

Kariye museum ki ye imarat hazaar saal se ziyada qadeem hai aur Istanbul mein Hagia Sophiake tareekhi maghribi kinare par Europe ki janib Golden Horn ke qareeb waqay hai. Ye qadeem imarat qaron wasti ka bazan-teeni church tha jo zamana qadeem mein esaion ke liye qeemti asasa tha aur 14 we sadi mein makhsoos qisam ki paintings se sajaya gaya tha. Constantinople ki fatah ke nisf sadi baad Turkey mein Osmani daur ke aaghaz 1453 mein is church ko Masjid Kariye mein tabdeel kar diya gaya tha.

Doosri jung azeem ke baad is tareekhi imarat ko is waqt ajaaeb ghar ka darjaa day diya gaya jab Turkey mein saltanat Osmania ka sooraj ghuroob hogaya tha. Baad azan America se aaye fankaron ke ek Group ny is imarat ko dobarah bator girja ghar bahal karne mein madad ki aur 1958 mein is imarat ko awam ke liye Museum ke tor par khol diya gaya.

Guzashta chand barson se Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan nay saltanat Osmaniya ki janib se mashriqi Roman umpire ko khatam karne ki yadgaron ki janib tavajja di hai.

Wazeh rahay Turkey ki Alla adliya nay November mein aaya Sophia Museum ko Masjid mein tabdeel karne ki manzoori di thi. Turk sadar Rajab Tayyab Erdogan ka hukum shaya honay ke foran baad ek reporter nay is jagah ka dora kiya hai aur is ke bakol ye imarat dekhnay walon ke liye bator ajaaeb ghar bhi khuli huvi hai.