Friday, April 26, 2024
HomeTrending NewsTurkey mein bhi Taliban ka parcham lahraya gaya

Turkey mein bhi Taliban ka parcham lahraya gaya

Istanbul: Iran mein Afghan Taliban ke hamion ne tehreek Taliban ka parcham lehraane ke baad Turkey ke shehar Istanbul main bhi Taliban ka parcham lehra diya hai. Eid Ul-Adha ki tatilat mein Afghan samaji rabton ki websites par Turkey mein mutadid taliban hamion ki tasaveer shaya ki gayeen. Un mein taliban ke hamion ko taliban ka parcham uthaye aur usay lehratey dekhaya gaya hai. Turkey ke sabiq secular leader Mustafa Kamaal ne 1920 hamza mein usay museum qarar diya tha jab ke saddar Tayyip Erdogan ne usay ek Masjid mein tabdeel kar diya.

Isi tarz amal mein taliban ke hamion ney Irani dar-ul-hukoomat Tehran ke baagaat mein intahaa pasand mazhabi tanzeem ke jhande uthaye aur un ki tasaveer banwaen. Halaank taliban Afghanistan mein ek ayeeni aur dastoori hukoomat ke khilaaf khooni jung lar rahay hain. Afghan social media ke alambardaron ki aksariyat ney taliban ke hamion ko Turkey mein tehreek ka jhanda buland karne ki ijazat dainay ki muzammat ki hai. Samaji kaarkunon ney kaha hai ke Turkey aur Iran main taliban ke hamion ko parcham lehraane ki ijazat dena un mulkon ki taraf se intahaa pasandi ki himayat ke mutradif hai.

Ek Afghan shehri Mohammad Fazli ne Facebook par likha ke ye taliban ke haami nahi hain balkay wo taliban ke rukan hain jinhein Turkey ki himayat haasil hai. Ek aur Afghan shehri mualim Abdul Ghafoor ne likha ke Erdogan ke dais mein taliban ka parcham lehrana mamooli baat nahi. Afghanistan mein jo be-gunah logon ka rozana khoon beh raha hai is mein Erdogan bhi barabar ka shareek hai kyunkay Turkey ki hukoomat un mujrimon ko panah day rahi hai.

Doosri taraf mutadid Afghan samaji kaarkunon ney likha hai ke Turk hukkaam ney Turkey mein taliban ka parcham lehraane walon ko giraftar kiya lekin Turk media ney is ka tazkara nahi kiya. Ye taliban ke himayati thay. Unhoun ney Eid Al-Adha ke din Irani dar-ul-hukoomat Tehran mein taliban ka parcham buland kiya aur Afghan qaumi salamti council ke siyasi musheer ney is par ek Twit mein is par tabsarah karte hue kaha Islami jamhooria ( Iran ) ney Afghan muhajreen ko darya bard kiya ja raha hai lekin wo taliban ko musallah kar raha hai aur taliban ko Iran ki sarzamen par apna parcham lehraane ki ijazat de raha hai.