Wednesday, May 15, 2024
HomeTrending NewsTurkey ki Sophia ko Masjid mein tabdeel karne ka faisla mutawaqqa

Turkey ki Sophia ko Masjid mein tabdeel karne ka faisla mutawaqqa

Cairo: Istanbul ke mashhoor tareekhi virsay aaya Sophia ko 1934 mein ajaaeb ghar bananay se mutaliq adalti hukum jummay ko mutawaqqa hai jis ke tehat is ko mumkina tor par wapas ibadat gaah ka daraja day diya jaye ga. Khabar rasan idaray ney 2 Turk ohdedaroun ka hawala dete hue kaha hai ke Turkey ki adalat mumkina tor par aaya Sophia ko ajaaeb ghar banaye jaaney ko ghair qanooni qarar day gi.

Turkey ke sadar Rajab Tayyab Erdogan ne tajweez ki hai ke UNESCO ke is aalmi saqafati virsay ka Masjid ka darjah bahaal kiya jaye. Aaya Sophia jo ke 16 we sadi ka aalmi saqafati virsa hai Isaion ki bazan-teeni aur musalmanoon ki saltanatِ Osmani dono ke liye ahem tha. Aur ab te Turkey ki wo yadgar hai jahan badi tadaad mein sayah aur muqami afraad jatay hain.

Taham Turkey ki aala adalat ka faisla Americi , Roosi yonani ohdedaroun aur Isaion rehnumao ke liye baasِ tashweesh hai. Wazeh rahay ke aaya Sophia ko 1934 mein ajaaeb ghar bana diya gaya tha aur abhi masla is faislay ki qanooni hesiyat par hai. Te faisla Mustafa Kemal Atatürk ke daur mein Turk seculer riyasat ki bunyaad ke ek dahai baad kiya gaya tha.

Turkey ke ek Seniour ohdedar ne media ko bataya ke hum mansookhi ke faislay ki tawaqqa kar rahay hain. Erdogan ki siyasi jamaat ae ke party ke ek ohdedar ne bhi kaha ke adalat ka faisla saal 1934 ke hukum ki mansookhi par mutawaqqa hai. Hukoomat haami kalm nigaar Abdulkadir Selvi ne hurriyaat akhbar mein likha hai ke adalat ne pehlay hi 1934 ke hukum ki mansookhi ka faisla kar liya hai aur jummay ko wo shaya kar diya jaye ga.

Unhoun ne likha ke qoum 86 saloon se intezaar kar rahi hai. Adalat ne aaya Sophia par se pabandioun ki zanjeer hata di hai. Te muqadma samnay laane wali Association ke mutabiq aaya Sophia saltanat Osmaniya ke Sultan Mohammad doum ki malkiat thi.

Sultan Mohammad ney 1453 mein is waqt Constantinople kehlaye jane walay shehar par qabza kiya tha aur 900 saal puranay bazanteen girja ghar ko Masjid mein tabdeel kiya tha. 30 crore Orthodox  Isaion ke Rohani rehnuma Ecumenical Patriarch Bartholomew ney kaha hai ke agar adalat jummay ko aaya Sophia ko masjid ka darjaa dainay ka elaan karti hai to is faislay se esaion ko mayoosi hogi aur te mashriq aur maghrib mein darar peda karne ka sabab ban sakta hai.

Americi wazeer kharja Mike Pompeo  aur yunan ney bhi Turk hukoomat ko kaha hai ke aaya Sophia ka ajaaeb ghar ka darja qaim rakhay. Taham Turkey mein bohat se halqoun ney kaafi arsay se aaya Sophia ko Masjid bananay ki muhim chalaye hai. Unhoun ney kaha hai te Turkey ke musalman mulk honay ki hesiyat ki akkaasi kere ga.