Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsTurkey ki Masjid Super Market mein tabdeel, Zaroorat mandoun ke liye sab...

Turkey ki Masjid Super Market mein tabdeel, Zaroorat mandoun ke liye sab kuch muft

Istanbul: Turkey ki ek Masjid mein jin Almariyoun par umooman jootay rakhay jatay they ab wahan kisi Super Market ki terhan Pasta ke Packets, Tail ki botelain, Biscuits aur deegar ashya rakhi huvi hain lekin ye ashya baraye farokht nahi balkay Coronavirus se mutasir honay walay zaroorat mandoun ko muft faraham karne ke liye rakhi gayi hain.

Media Report ke mutabiq Masjid ke baher laga ek poster jahan is baat ki targheeb day raha hai ke kya yahan koi kuch cheeze rakhna chahay ga sath hi zarorat mandoun ke liye zaroorat ki ashya le jaaane ka bhi pegham hai. Ibadat gaah ke zariye musthqin ki madad karna ka khayaal Istanbul ke ek ilaqay mein Masjid ke 33 sala imam Abdul Samad ko is waqt aaya jab Turkey ne Virus ka phelao roknay ke liye Namaz ke ijitmaat moattal kar diye.

Nojawan imam neh kaha hai ke Namaz ke ijitmaat par pabandi ke baad mujhe Ameer afraad ko akhatta kar ke zaroorat mandoun ki madad karne ka khayaal aaya aur Masjid mein ashyae khor o nosh o safai ka dhair lag gaya. Chunancha unhoun ne ashya ko utha kar Masjid ke dakhli maqam par lagey riks mein tarteeb se rakh diya aur ye kaam unhoun neh khilafat Osmaniya mein raaij falahi pathar se mutasir hokar kiya.

Khayaal rahay ke khilafat Osmaniya ke nizaam mein zaroorat mandoun ko baghair sharminda kiye ba izzat tareeqay se un ki madad ke liye loog apni marzi ke mutabiq raqam falahi pathar par chode jaya karte they zaroorat mand wahan se apni zaroorat ke mutabiq raqam utha kar baqi dosaroun ke liye chode diya karte they. Is zimn mein ek mukhayyar shakhs neh bataya ke apne aaba o ajdaad se mutasir ho kar hum neh apne bhaiyoun ke sath mil kar Masjid ke riks ko bhadhanay ka faisla kiya.

Is silsilay mein Masjid ki deewar par ek fehrist awezan ki gayi hai jahan loog apna naam aur Telephone Number likh jatay hain, Imam is fehrist ko muqami intizamia ke paas bhijwatay hain jo is baat ki jaanch padtaal karte hain ke kiya waqai wo zaroorat mand hain. Tasdeeq honay ke baad un afraad ko pegham bheja jata hai ke Masjid aakar jo zurori ashya chahain le jasakte hain aur wo 8 cheeze le jasakte hain.

Ek waqt mein Masjid mein ziyada se ziyada 2 afraad daakhil hotay hain jabkay baqi baher khaday apni baari ka intezaar karte hain mazkoorah Masjid 2 haftoun se ye kaam kar rahi hai aur ab tak 120 afraad ki rozana is andaaz mein madad ki jati hai taham Masjid mein raqam ka atiyah wusool nahi kiya jata balkay ashya faraham karne ke liye kaha jata hai. –YTN STAFF