Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderTurkey ki Iraq mein mudakhilat naqabil qubool: Mustafa Al-Kadhimi

Turkey ki Iraq mein mudakhilat naqabil qubool: Mustafa Al-Kadhimi

Washington: Iraqi wazeer-e-azam Mustafa Al-Kadhimi ne kaha hai ke Turkey ki un ke mulk mein mudakhilat bilkul na qabil qubool hai. Unhuon ne ye baat Americi sadar Donald Trump se White House mein band kamray ki mulaqaat se qabal kahi hai. Mustafa Al-Kadhimi ne sahafion se guftagu karte hue kaha ke hum is ko qubool nahi kar saktay aur Iraq ka ayeen bhi is ki ijazat nahi deta. Wo wazeh tor par ye kehta hai ke hamari sarzamen kisi mahaaz aarai ke liye istemaal nahi hogi.

Unhuon nay kaha ke Iraq America ki sarmaya kaari ke liye tayyar hai. Un ki mulaqaat se ek roz qabal hi Iraq aur America ki companiyon nay tawanai aur tail sameit mukhtalif shobo mein dotarfah taawun ko farogh dainay ke muahidon par dast khat kiye hain. America ke mehakma tawanai nay ek bayan mein kaha hai ke America ki paanch companiyon nay iraqi hukkaam se tail aur bijli ki wazaraton se mutaliq 8 Arab dollar maliyat ke muahidon par dastakhat kiye hain. Un mein Iraq aur America ki general electric corporation ke darmiyan 1 Arab dollar se ziyada maliyat ka ek moahida bhi shaamil hai.

Sadar Trump ney kaha ke America Iraq ke sath khada hai, Unhuon ney apne is moaqqaf ka iada kiya hai ke America Iraq se apne tamam fojion ka inkhala chahta hai lekin unhuon ney ye bhi wazeh kiya ke Iraq mein Americi fojion ki mojoodgi ka maqsad Iran se la-haq kisi bhi khatray se nimatna hai. Wazeh rahay ke Iraq ki wazarat kharja ney June mein shumali Kurdistan mein Kurd baghion ke khilaaf Turkey aur Iran ki mutadid karwaiyon ke baad Baghdad mein mutayen dono mulkon ke safeeron ko talabb kiya tha. Ye Iraq ki khud mukhtari par hamlay hain lekin is ke bawajood Turkey ney shumali Iraq mein Kurd baghion ke khilaaf fouji karwaiya jari rakhi hui hain aur kaha hai ke wo ye operation security maqasid ke liye kar raha hai.