Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsTurkey ke qaumi din Turkish Airline ka aasman par duniya ka sab...

Turkey ke qaumi din Turkish Airline ka aasman par duniya ka sab se bada qaumi parcham ka drawing

Ankara: Turkey ki qaumi khud-mukhtaari aur bachoun ke din ko mananay ke liye Turkish Airline ki khusoosi parwaaz ne Ankara ki fazai hudood mein parwaaz karkay aasman par duniya ka sab se bada qaumi parcham drawing kiya. Coronavirus Lockdown ki wajah se Turkish Airlines ne is ahem mauqa ko aujagar karne ke liye ye khusoosi Mission poora karne ke liye lag bhag 2 ghantay 38 Minute ki tikniki parwaaz ki.

Turkish Media ke mutabiq Turkey ko Grand National Assembly ban’nay ke 100 saal baad ye mauqa mila aur khaas din is mulk ne khud ko ek khud mukhtar qoum qarar diya tha. Ye din poori duniya ke bachoun ke liye bhi manaya jata hai. Is roz Turkey mein qaumi tateel hoti hai aur is din aam tor par Parade aur deegar ranga rang taqrebaat shaamil hoti hain taham Coronavirus ki aalmi waba ki wajah se lag bhag poori duniya mein Lockdown hai. Is sorat e haal ne sab ko ghar par rehne aur ijitmaat se ijtinab karne par majaboor kardiya hai.

Turkish Airlines ne is mauqa ko khusoosi andaaz mein mananay ke mauqa ka faida uُthaya aur har ek shehri ko mehfooz kiye jane ko bhi yakeeni banaya. Is ahem Mission ke liye Ankara International Airport ko muntakhib kiya aur Turkish Airline ki khusoosi parwaaz TK 1920 muqami waqt ke mutabiq subah 9 baj kar 39 Minute par Ankara Airport se Turkey keNational Flag ke liye dara ki gayi Line par rawana huvi aur 2 ghantay 38 Minute baad 12:17 bajey tikniki tor par khenchi gayi Flight ki line par parwaaz karte huve Ankara Airport par hi utreen.

Turkey ke qaumi parcham mein shaamil chaand ko drawing karte huve parwaaz ne ziyada se ziyada 26 hazaar feet ki bulandi par 400 se 490 Kilometer fi ghanta ki raftaar se safar kiya taham sitara bananay ke douran maahir Pilot ne jahaaz ko 14 hazaar feet ke aas paas ki bulandi par rakha aur is douran tayyaray ki raftaar dhai so se 180 kilometer fi ghanta ke darmain rahi.

Is khusoosi Flight ne Ankara ke qareebi shehroun ke oopar parwaaz ki. Turk National Flag bananay ke is mushkil aur intehai khobsorat manzar ko Airline ne Tracking ke zareya khobsorat andaaz mein pesh kiya hai. –YTN STAFF