Thursday, May 16, 2024
HomeTrending NewsTurkey ke khilaaf Yunan ka sath France ka elaan

Turkey ke khilaaf Yunan ka sath France ka elaan

Paris: Francesi wizarat kharja ne kaha hai ke Turkey ki Policies ka saamna karne mein Cyprus aur Yunan dono ke muaqqaf ki himayat karne ke liye Europe Union ke mumalik aapas mein muttahid hain. Bayan mein kaha gaya hai ke Turkey ki taraf se padosi mulkoun mein mudakhilat qubool nahi aur Europe Angara ki Yunan aur Cyprus mein mudakhilat ko qubool nahi kere ga.

Qabal azeen Germany ke wazeer kharja Heiko Moss ne Europi parliament ki kharja umoor ki committee se khitaab mein kaha hai ke ilaqai satah par Turkey ka tarz amal na qabil qubool hai. Unhoun ne mazeed kaha ke Turkey ke sath apni strategic ahmiyat ki bana par baat cheet jari rakhni chahiye. Turkey panah guzinoun ki Europe ki taraf naqal makani ki rokk thaam mein kirdaar ada karsaktha aur hamein Daish se allag karsaktha hai.

Unhoun ney zor day kar kaha ke koi bhi qubool nahi karta hai ke Libya Roos aur Turkey ke darmain taqseem shuda maal mein ban jaye. Heiko Moss ney kaha ke kisi ko bhi Libya ko dosray shaam mein tabdeel karne mein koi dilchaspi nahi hai. Moss ke ye khayalat Turkey ke sath kasheeda taluqaat par tabadlah khayaal ke liye Europe Union ke rukan mumalik ke wazraye kharja ki Brazil mein honay walay ijlaas ke baad aaye hain.

Europe Union ke kharja taluqaat ke commissionaire Josep Borrell ne kaha ke Europe Union Turkey se Libya mein Berlin conference ke tehat wadoun ka ehtram karne par zor day rahi hai.

Borrel ne inkishaaf kiya ke unhoun ne Europe wazraa ke sath Turkey ke baaray mein taweel aur dilchasp mushawarat ki hai. Turkey ko dono fareeqoun ke mabain behtar taluqaat ke liye Europe eqdaar aur mafadaat ka ehtram karna chahiye.