Sunday, May 19, 2024
HomeTrending NewsTurkey Drama Ertugul - Ek Inquilaab ka Ishara

Turkey Drama Ertugul – Ek Inquilaab ka Ishara

Hyderabad: Turkey ke drama jis ko urdu mein Ghazi Ertugul ya Ertugul kaha jata hai, is waqt saari duniya ka mauzo bana huwa hai. America mein usay’ ‘ be aawaz Atom Bomb  Silent Atomic Bomb’ ‘ kaha ja raha hai. Misar aur Saudi Arab mein usay banned kardiya gaya hai, kayi Ulema is ko musalmanoun ki shandaar tareekh ka ek sabaq keh rahay hain to kuch ulema is ka dekhna najaaiz aur haraam keh rahay hain. Lekin awam ka ye haal hai ke Netflix & YouTube per is serial ne Hollywood aur Bollywood ke bhi tamam TRP records tod diye hain. Ghar ghar mard aur khawateen hi nahi bacha bacha is ka deewana hochuka hai. 150 qistoun par mushtamil ye serial tareekhi, Adbi aur ahdِ haazir ki tamam fanni mahartoun se pur hai. Is serial ko kayi aitbaar se ek inqalabi turning point kaha ja sakta hai. Pehlay hum is par honay walay chand aitrazaat ka jaiza letay hain.

Sab se pehla aitraaz ye hai ke ye ek farzi kahani hai aur saaray waqeat dramatised hain. Ye bilkul sahih tajzia hai, Ertugul ka kirdaar haqeeqi hai lekin waqeat ko dramatized kiya gaya hai, Lekin jitne kirdaar basere ke saaray aaj ki duniya ke chaltay phirtay kirdaar hain, Sachey benawar aaj bhi hamaray darmain zindah hain, Aur yahi wo loog hain jo ummat e Musalmah ki zillat o ruswai ka sabab hain. Is serial ko ghour se dekhye aur apne mojooda halaat par nazar daaliye  kiya Ural aur Kortuglu jaisay ghaddar leader ban’nay aur Power haasil karne ke liye dushmanoun se haath mila kar apne hi bhaiyoun ko nuqsaan nahi pohanchate? Kya aaj Aziz jaisay bewaqoof hukmaran mojood nahi hain jin ko yahi khaber nahi  ke unhi ke mahal mein un ki mahboob banaye aur wazeer musalmanoun ke bhais mein ghuse huve hain jo darasal Isaai Crusaders hain? Kiya Noyan aur Alanchak jaisay  mongolo ki shakal mein Islam dushman KUFAR aap par musallat nahi hain jo Islam aur musalmanoun se sakht nafrat karte hain? Kya Aytulan, Gonchagul aur Colpan jaisi chaalbaaz aurtain hamaray khandanoun mein nahi hain? Kya Saaduddin vazir ki tarhan ke munafiq hamaray darmain nahi hain jo jis ka namak khatay hain uski peeth mein chura ghompte  hain? kya Bahadur bey, Batulan, Alptakin aur Gumustakin jaise musalmaan jasoos hamaray –apne mohalloun mein nahi hain jo chand Sikkoo ki khatir jasoosi karte hain aur apne hi heroes ko paspaa karte? kya Titus, Aeris, Cardinal aur Bazantinians jaisay Isaai aur Yahodi musalmanoun ko ladhwane ki aalmi siyasat nayekhel khel rahay hain? kya Dundar bey jaisay sage bhai nahi hain jo ek ladki ki aashiqii ki nadani mein khandano ko nuqsaan pohanchate hain?

Ye saaray kirdaar sachey hain aur har jagah mojood hain. Nahi hai to aaj ek Ertugul nahi hai jo kabhi waqai tha. Jis ki himmat, Zahanat aur bahaduri ki wajah se musalmanoun ki ek azeem sultanat, Sultanet e Osmania wujood mein aayi. Ye serial dekhte huve har dil mein ek Ertugul  ban’nay ki tamanna paida hoti hai. Ye film un tamam ghaddaroun se muqaabla karne ke liye talwar se ziyada aqal aur josh se pehlay hosh istemaal karne ke ger sekhati hai. Ertugul ka maqsad hayaat mazloom ki madad aur Adal o Insaaf ka Qiyam dekhaya gaya hai, Isi maqsad ke liye wo apni jaan ki parwa nahi karta aur har dushman ko maar girata  hai. Adal aur insaaf ka Qiyam hi ek Islami riyasat ko Qaim karsaktha hai, Yahi is serial ka asal messege hai.

Dusra ilzaam is serial par ye hai ke ye mehez ek film hai aur film dekhnaa Islam mein haraam hai. Chunkay hamaray haan Angrezoun ki har ijaad pehlay haraam qarar day di jati hai, Phir usay halal hotay hotay kayi saal lag jatay hain, Yahi wajah hai ke hum zamane se kayi saal balkay kayi sow saal peechay hain. Jis tarhan printing machine haraam thi, loudspeaker,  ghadiyaan dekh kar azaan dena haraam they, Isi tarhan hum ne haliya tareekh mein bhi internet, tv, film, mobile, theater, social media, camera aur  videos  ijaad honay sath hi inhen haraam qarar day diye. Un fatwe par mushtamil be shumaar kitaaben aaj bhi mojood hain. Barsoun baad ye rafta rafta halal honay lagey bhi to is had tak ke aap maulanaun ki takrirain sun satke hain.

Gaur farmaeye hamari kam se kam 2 naslen Ilmi aur tehzibi tor par internet ke daur mein apne shaour ko pohanchi hain. Tom & Jerry ke sath bachpan guzra hai, Michael Jackson ke sath jawan hue hain aur Google se deen, history aur culture seekha hai. Nateeja ye nikla ke aksariyat ko wahi tareekh maloom hai jo inhen tv, Ya internet par angrazoun ne bataaye hain. Jis mein hamaray heroes ka koi tazkara nahi hota lekin un ke heroes ka tazkara is terhan hota hai jaisay ke wo asli mohazab aur tareekh saaz loog they. Halaanke sadiiyoun pooray Asia, Africa aur adhay Europe par musalmanoun ki hukoomat thi. science, technoloogy, hisaab, funِ taamir aur adab mein sirf musalmanoun hi ki tahazeeb thi jis ka ashr asheer bhi kisi aur qoum ke paas nahi tha. Aaghaaz Islam se le kar 19th century tak musalmanoun se  mangoloun, Isaioun aur Yahudioun ney beshumaar quni jaanghein ladi hain, Lekin jeet aakhir mein musalmanoun hi ki huvi hai. Lekin jab camera, video aur internet ijaad huve to hum halal haraam ki behsoun mein atak gaye. Isi tarhan jis tarhan Baghdad mein jab Halaku Khan daakhil huwa us waqt hum gadhay aur kaway ka gosht halal hai ya haraam ki bahesoun mein mashgool they. Ghairoun ney media, filmoun, Documentary  aur e-libraries ke zariye internet par itna mawaad bhar diya ke aaj khud hamari naslen is kampliks mein mubtala hain ke kya kabhi musalmanoun ne jangou aur mazhabi ikhtilafat par bahsoun ke ilawa bhi kuch aur kiya hai? kyunkay pooray media mein musalmanoun ka kirdaar Taliban, Al Qaeda ya  Daish  IsIs ki tarhan sirf khoon bahanay waloun ka hai.

Itni taweel tamheed ka haasil ye hai ke Ertugul series ne pehli martaba America aur Europe ko hila kar rakh diya. Kisi ne aaj tak tareekh mein yahood o nasri ka wo makrooh chehra duniya ke samnay pesh nahi kiya tha jaisay is series mein pesh kiya gaya hai. Chunkay tareekh ke ye sachey ourak hain is liye America ya Europe usay jhutla nahi sakte. Musalman agar  technoloogy  ko haraam nah kiye hotay, Aur kayi ahem mazameen ki tarhan history ko bhi madersoun ke nisaab se nikalay nah hotay to Ertugul jaisay kayi heroes ko screen par pesh karkay hum America o Europe ko hi nahi saari duniya ko Islami tahazeeb, Taaqat aur karnamoun ka qaail kar chukay hotay. Is series ne misbet soch aur himmat rakhnay waloun ko aur bilkhushoos Khilaaf eِ Islam ban’nay wali filmoun ke khilaaf ehtijaj karne waloun ko ek zabardast paigham diya hai ke agar aap khud agay badh kar haqeeqat ko duniya ke samnay pesh karna chahtay hain to aap ko kisi ne nahi roka, Ehtijaj aur fatwe band kijiye aur khud kuch kerdikhane ka aetmaad paida kijiye. Jo loog shadioun par aur Nafil Umra par aur kayi dusri fazooliyat par lakhoun rupiya kharch kardete hain, Agar wo ummat ke liye ek tameeri kaam karen, Aur ye paisa misbet kaam mein lagayen to hum Hindustan se aisay kayi Ertugul bana kar dikha satke hain jo Fascistoun ke har jhoot ko be naqaab kar saktay hain. Hum sahih Islam ki tasweer karodoun gharoun mein pouncha satke hain.

Ab jo loog ye aitraaz karte hain ke tasweer, Video, film, Aurat ka screen par aana sab haraam hain, Lahalhadith hain to un aitrazaat mein bhi koi dam nahi hai. Aitraaz karne waloun mein 90 % wo loog hain jin ki namazoun mein bhi jeyboun mein samsung, Aur iphone hotay hain. Un ke ghar waloun ke hathoun mein din bhar mobile, ipad aur laptop hotay hain. Ye sab din mein kitni baar taswerain dekh rahay hain, Aurton ko dekh rahay hain aur social media ke zariye kitney lahalhadith ke murtakib ho rahay hain inhen is ka andaza hai. Is ke bawajood agar film haraam, Aurat ka screen par aana haraam aur lahalhadees haraam ke fatwe day rahay hain to’ ‘ ’وما یخدعون الّا انفسھم وما یشعرون ‘ ‘ ye kisi ko nahi apne aap ko dhoka day rahay hain.

Jis terhan ab waqt ne hamein ye sekha deya hai ke ab hamein sugar, Corona, Aids aur cancer ke sath jeena seekhna hoga, Hamesha lockdown nahi chal sakta isi terhan ab hamein ye bhi samajh lena chahiye ke Seriels, filmon, TV, internet aur Google ke sath jeena seekhna hoga. Islam ka un ke zariye tasvor pahunchana hoga, Warna un ko haraam karkay hum deen ko dunya se aur bhi daur kar deinge. Nah video haraam hai nah film lahalhadees hai, Aur nah aurat ka screen par aana zina hai. Ye sab depend karta hai aap ke maqsad par ke aap un cheezoun ko ek neek maqsad ke liye istemaal kar rahay hain ya buray maqsad ke liye. Ghar ke kitchen ki chhuri se agar koi kisi ka qatal karde to kiya chhuri rakhnay ko haraam kar deinge?

Ye bhi ek aitraaz hai ke Ertugrul mein kaam karne walay Actors ki terhan kapray pehantay hain aur un ke tarzِ zindagi se kahin Islam nahi jhalakta. Ye bhi ek laghu ilzaam hai. masjid ki taamer karne walay mazdooroun ka Islami libaas pehanker aana, Bawazo hona aur namazi hona shart nahi hai. Actor bhi ek mazdoor ki tarhan hain jinhoun ne kaam kiya, Mazdoori li aur chaltay banay. Kayi ulema aur mashaykheen aisay hain jo jahez aur jodhay ki

Raqam ko haraam kehte hain, Is ke khilaaf khoob takrirain karte hain lekin doosri taraf wo apne gharoun ki shadion mein un haraam cheezoun ko nahi rokk sakte, Kya un par aap Ertugrul ke Actors ki terhan Fatwa lagayen ge, Kya un ki itebaa band kar dein ge,? Allama Iqbal , quaiday Azam , Maulana Abulkalaam Azad ki nah badi darhhyan theen aur nah topian ya amame. lekin un ke kamoun ki wajah se musalmanoun ki tareekh roshan hai. Koi baday se bada aalim ya apne waqt ka wali bhi un ke karnamoun se inkaar nahi karsaktha. Hamein kisi ke chehray ya libaas ko dekh kar is ke imaan ke paymayesh ( Measure ) karna ke dosh ko badalna hoga.

Ek baat aur samajhney ki hai. Wo ye ke jis terhan ab daur e-commerice, e-banking aur e-education ka hai, Har har cheez internet ke tabay hoti chali jarahi hai, Ab Islam ko bhi e-Islam karna hoga. Jin gharoun mein dada jaan ki layi huvi Islami kitaboun ki zakheem jildin theen ab inhen deemak kharhi hai. Inhen ab koi padhnay wala nahi hai. Aap ki zabaan ke sath hi aap ka poora Ilmi aur tehzibi sarmaya khatam ho raha hai. Jummay ka khutba suneney ke liye kisi paas waqt nahi hai, Chahay khateeb kitna hi shandaar kyu na ho. Loog jamaat khadi honay se 5 minute pehlay atay hay aur salaam phertey hi masjid se nikal jatay hain, kyun ?. .. kyunkay inhen

Internet par hi un ki pasand ke ulma, Classes aur Lecturer itnay mil rahay hain ke wo ab kisi aalam ya molvi ya maslak ya jamaat ke paband nahi rahay. Ab e-Islam ka daur hai. Aindah wahi deen chalay ga jo internet, mobile ya computer par video aur camera ke zariye hoga. Ab taleem Yafta tabqa ijitmaat, Jalson ya khutbon mein nahi aeye ga balkay zoom, facebook, skype par e-ijtema mein aeyega. Isi terhan agar aap ko apni history ko zindah karna ho to ye Ertugrul ki terhan youtube & Netflix per Zinda karna Hoga. Agar aap un cheezoun ko haraam karkay loogon ko purani rawish par wapas lana chahain ge to ye namumkin hai. Ab to bacha bacha ye jaanta hai ke nah video haraam hai, Nah internet aur nah aurat ka screen par aana haraam hai. Haan un cheezoun ka istemaal halal ya haraam ho sakta hai. Agar aurat ko screen par aap ikhlaqi aur tameeri maqsad ke sath layeinge to ye jaaiz hoga aur agar usay nachanay, Thidrkne aur fahash kaari ke liye pesh karaingay to haraam hoga. Aurat ke mutaliq hamaray royih aur soch ko badalna hoga. Wo daur chala gaya jab aurat ko naaqis al-aqal aur saqt al itebat kaha jata tha. Usay sirf itni education ki ijazat thi ke wo dhobi ka hisaab likh sakay aur apne maa baap ko khat likh sakay. Aaj aurat Actor hai, news reader hai, pilot hai, judge aur advocate hai, wazeer e azam hai, Surgeon aur jurnalist hai, Professor hai aur kya nahi hai? Ab aap aurat ko is daur mein dhakil nahi satke jis daur mein hum ne sadiyoun usay patriarchy ki mazboot zanjeeroun mai jakad kar rakha. Haan agar koi aurat burqa pehanti hai, Naqaab lagati hai aur dastanay pehanti hai to aap ye zaroor keh satke hain ke wo falan maslak ke usooloun ki pabandi karti hai. Lekin jo aurtain ye nahi kartin un ko ye keh dena ke zina kar rahi hain ya ghiraslami hain ye ghalat hai. ye apne khodsakhtah deen ke tasawwur ka takqabur hai. Hindostan, Pakistan , Saudi Arab, Indonesia aur dosray kayi muslim mumalik mein karodoun aurtain nokryan kar rahi hain shopping ke liye nikal rahi hain jo burqa nahi pehntin. Khud har shakhs ke ghar ya khandan mein kayi aurtain aisi hain jo noukari bhi kar rahi hain, Shopping bhi kar rahi hain bohat achi musalman hain lekin parda nahi kartin. Kya maozallah ye saari aurtain zina kar rahi hain. Hamein is soch ko badalna hoga. Ye Islam ki ghalat tabeer hai.

Ertugul par baaz loogoun ka ye bhi aitraaz hai ke drama ya theatre se Islam nahi phialta. Is ghalat fehmi ko zehnoun se nikalna zurori hai. Yahan hum iss daur ke ek ahem Intellectual jinhoun neh nadwah aur jamia al falah dono se aalam ki sanad haasil ki, Phir Telangana TV ke media director rahay, Kayi ahem Documentries banachuke hain, Behtareen script writer, Speaker aur geet car hain. Media ki ahmiyat par kayi workshop munaqqid kar chukay hain  janab sadaqat Hussain Falahi sahib, Un ki taqarir ka lab labaab pesh karen ge ke quran ki dawat mein media, Drama Dramatisation aur thayad ki  saaray anasir mojood hain. Nabi ke maienay hi khabar dainay walay ke hain.’ ‘  عم یتساء لون، عن النباء العظیم?’ ‘ naba kehte hain khabar ko. nabi jo khabar laatay hain wo loogon ke liye hoti hai. Loogoun mai baat phelanay ko media kehte hain. Aur Allah taala ne har nabi se is daur ke murawaja mizaaj ko samnay rakh kar media ka kaam liya hai. Firaoun ke jadugaroun ke dil mein baat utaar ne ke liye Allah ne Moosa se takreer nahi karwai. Balkay saanpoun ka ek scene peda kiya. Is ko media ki zabaan mein Dramatisation kehte hain. Is ke Climax par loog herat zada ho jatay hain, Aur imaan le aate ain. Ye bhi dawat ka ek tareeqa hai. Isi terhan hazrat Ibrahim AS ka chhootay buton ke suronu ko toad dena aur kulhadi ko baday buut ke gilaay mein taang dena. Jab loog puchhte hain ke hamaray butoun ke suroun ko kis ne tod diya, To aap? ka ye kehna ke’ ‘ baday buut se pucho’ ‘. Is ko media ki zabaan mein suspense peda karna kehte hain. Is ke Climax se loogoun ke zehnoun mein ye bithana maqsood tha ke jo buut khud apni hifazat nahi kar saktay wo khuda kaisay ho saktay hain? Suspence peda karkay dawat pahunchana bhi dawat ka ek ahem juz hai. Isi terhan Ibrahim AS ka qoum se ye kehna ke sayarah hamara rab ho sakta hai, Jab wo doob gaya to kehna ke nahi, Chaand hamara rab ho sakta hai, Phir kehna ke ye to doob gaya, Ye hamara rab nahi ho sakta, Sooraj ko hamara rab hona chahiye. Phir jab wo bhi doob gaya to sayaray, Chaand aur Sooraj ko jis Allah ne peda kiya is ki taraf loogoun ko dawat dena. Kya Ibrahim AS? ne shirk kiya? Kya unhoun ne jhoot kaha? Naozbellh. darasal ye sab kuch Allah hi ne un se kehlwaya. Ye theatre ki ek misaal hai. Is se loogoun mein dilchaspi, Tajassus aur Loogical thinking peda ki jati hai. Warna Allah taala chahta to seedhay seedhay Ibrahim AS. Se takreer karwaker chand Suraj ki ibadat ko haraam karkay Allah ki ibadat karne ka hukum pouncha sakta tha.

Beherhal dawat ya tableegh karne walay ye samajte hain ke sirf dars ya takreer karne se deen phialta hai, Wo ghalat fehmi ka shikaar hain. Allah taala is kaam ke liye media ke tamam elements ke bharpoor istemaal karta hai. Jaisay Nooh AS ka kashti banana, Loogoun ka jama hona, Kisi ka mazaq udana, Kisi ka ghhor karna, Isi terhan Younus AS ka machhli ke pait mein poanch jana, Yousuf AS ka kunvey mein phir mehal mein, Phir Cheel mein aur phir mehal mein poanch jana. Chunkay drama, Suspences, Climax, theatre waghera ke alfaaz hamesha haraam ki zad par rahay hain is liye. Un alfaaz ke sath ek manfi tasvor qaim hochuka hai. Hosakta hai ke kuch loog un alfaaz ke istemaal karne par hamein fatwa se nawaz den. Lekin agar wo thanday dimagh se ghhor karen to Quran ke un tamam waqeat mein jo Dramitisation nazar aayega wahi dawat ke liye bhi laazmi hai. Ahedِ-e-haazir mein hum ko Islam pohanchanay ke liye wahi media istemaal karna hoga jo Ertugrul mein pesh kiya gaya. Ye ho sakta hai ke Ertugrul mein bilkul jhoot pesh kiya gaya, Lekin is se ye saabit nahi hota ke yahi kaam hum par farz nahi hai. Agar aap usay ghalat samajte hain to agay badhe aur sahih kiya hai pesh kijiyej. Khud kuch nahi karaingay aur sirf fatwe denge to is se ummat ko bhi aur deen ko bhi siwaye nuqsaan ke kuch nahi hoga. Aap ne dekha nahi ke Indian TV par musalsal khair aqli, khair scientific khurafaat aur jhooti mazhabi Dramatize dastanowek karkay is terhan pesh kiya ja raha hai ke is ke serial bhi karodoun loog dekh kar pagal ho rahay hain aur khurafaat ko sahih samajh rahay hain aur ghalat aqeedoun par aur sakhti se jim rahay hain? Ab zaroorat hai ke ummat Musalmah media ka bharpoor istemaal kere warna jis terhan aap ke bachay ye khurafaat dekh dekh kar mutasir ho rahay hain kal ho sakta hai apna imaan hi nah badal dalain. Ehley madrassa aur ehley maslak ab ya to daur rahen aur fatwao ko bhi daur rakhen, Ya phir maidan mein utrain aur Technology seekh kar sahih deen ko media ke takazoun ke mutabiq pesh karen, Yahi e-Islam hai. Ab musalman hon ke ghirmuslim, Jo taleem Yafta honge isi ke zariye Islam ke qareeb ayenge.

Ab aayye Ertugrul ki kahani ki taraf. Ertugrul ki kahani diloun mein ek imaan ki bijli peda karti hai. Poori Muslim World mein musalmanoun ki jo siyasi aur muashi aur taleemi haalat hai is ki wajah se jo loogoun ke diloun mein mayoosi aur ek terhan ki al-haad parasti atheism peda hoti jarahi hai aisay mayoosi ke andheroon mein Ertugrul ek mardana azm-o-haosle aur himmat ki ek kiran hai. Usay dekh kar andaza hota hai ke jung badar, Jung Yarmouk aur jung Qadisiyya kis terhan laday gaye honge. Usay dekh kar ye josh imani peda hota hai ke agar Allah par mukammal yaqeen rakhnay walay chahay muthi bhar chand hi kyun nah hon, Wo badi se badi fouj ko bhi shikast day satke hain. Is series mein Ertugrul ko jin halaat mein ghira dekhaya gaya hai wo aaj ke halaat se mukhtalif nahi hain. Ek taraf Islam dushman mongol hain jo Islam aur musalmanoon se sakht nafrat karte hain. Agar koi un ka zabihah khanay ke bajaye Islami tareeqay par janwar ko zibah karkay khata hai to is ki gardan mardete hain. Masjidoon ke minaar gira kar masjidoon mein ghoday bandhnay ka hukum dete hain. Agar kisi ne Azaan dainay ki koshish ki, Topi, daadhi ya kisi aur tareeqay se Islam ko zahir karne ki koshish ki to is ki saza mout hoti thi kyunkay is zamane mein baday baday jail khane nahi huwa karte they. Mongol ye chahtay they ke saari duniya par sirf un ka rashtar qayem ho. Doosri taraf musalman hakoomaten jaisay Saljooq aur Ayobi waghera they, Ek dosray se jung kar rahay they aur khon-e musalmaan dono taraf beh raha tha. Teesri taraf bet Ul Muqaddas ko wapas lainay ke liye England , Crusaders, Templars & bazantine har taraf se hamlay kar rahay they. Un ke paas tarbiyat yafta jangju mercenaries they jin ki main strategy musalmanoon ko ladawa kar dono ka khtama kar dena tha taakay pooray Arab par un ki hukoomat qayem hojaye aur wo Yaroshallam se hukoomat karen. Chothi taraf Ertugrul ke apne qabeeley gayi ki terhan hazaron qabeeley they. Har qabeela ke sardar tamam qabeeloun ka sardar ban-na chahta tha. Qabeeley ke andar har shakhs leader ban’nay ke liye kisi ke bhi hathonu bik sakta tha. Panchawan masla ye tha ke har qabeeley mein aurton ki siyasat mardoun se ziyada thi. Baday baday sardar aurton ke ishaaroun par naachtay they. Un halaat mein Ertugrul apne chand sathiyoun ki madad se adal qaim karne ke maqsad se uthta hai. Is ka aakhri maqsad Allah ki Raza aur Islam ka parcham buland karna hota hai. Sab se pehlay sagge bhai is ke mukhalif ho jatay hain aur usay qabeela chodne par majaboor kardete hain. Qabeeley ke dosray loog jo Mongolioun, Esaion aur Ayeboun ke liye ashrafiaan le kar jasoosi ka kaam karte hain, Wo hasad ya jalan ki wajah se ye bardasht nahi karte ke Ertugrul hero ban jaye. Wo is ke khilaaf sazishain karte hain. Saaray waqeat ko is qader mazbooti ke sath joda gaya hai ke herat hoti hai. Ab tak ye ghuroor sirf Hollywood ko hi tha ke aisi badi filme sirf wahi banaskte hain. lekin Ertugrul ke bananay waloun neh saabit kardiya ke musalmanoon mein Hollywood se ziyada zaheen loog mojood hain. Kahani ka maqsad aur Message aisa hai ke dekhnay wala pehlay scene se hi apne andar Ertugrul ka jazba imani sath le kar dekhta hai. Ye dekhnay se loogoun ke andar khauf aur Inferiority complex khatam ho raha hai. Munafiqat ke khilaaf zameer zindah ho rahay hain. Islami tareekh ko phir se zindah karne ka jazba peda ho raha hai. Agar aisay ek do chaar aur serial banadiye gaye to ye ek inqilab ke naqara saabit honge.

Jahan tak Saudi Arab aur Misar waghera ke Ertugrul ke khilaaf gussa aur fatwo ka talluq hai, Ye mukammal siyasi hain. Ye tareekh hai ke Turkey se England ki dushmani mehez pehli jang-e azeem ki wajah se nahi thi. England hamesha se musalmanoon ko khatam karkay Israel ki riyasat ko qaim karne ke liye Salahuddin Ayobi ke zamane se koshish karta aaraha tha. Hamesha nakaam huwa lekin aakhri mein 1923 mein usay kamyabi haasil huvi jab wo Russia aur France ki madad se saltanatِ Osmaniya ko khatam karne mein kamyaab hogaya. Is marhalay mein Saudi Arab aur Misar bajaye ek musalman ka sath dete unhoun ney England ka sath diya. England kalkata mein muqeem Viceroy ke zariye Amman ke rastay hatyaar faraham karta raha. Al Saood Abdalaziz jo is waqt tak King nahi banay thay Turkoon se dosti ka ehad karkay bhi peechay se England ke humnawa thay. Turk faujein England aur France ke khilaaf kayi mahazoun par ladh rahe thay. Mauqa ka faida utha kar Abdalaziz ney Ahasa aur Dammam se Turkoon ko nikaal kar qatal kiya aur shareef of Mecca ney apni faujein ek English commander lawrence of Arabia ke hawalay kar dein. Hazaroun Turkey qatal kiye gaye, Turkey se Mecca tak ki Railway line udhadi gayi. Shayed apne mohsin ki peeth mein chhura ghonpne ke inaam ke tor par Abdalaziz aur shareef of mecca ko ek ek mulk mil gaya lekin ek azeem saltanatِ musalman jo saltanatِ Osmaniya kehlati thi, Jo musalmanoun ki aakhri super power thi, Jo 40 mulkoun par yani 3 bara-e-azmoun 3 continents par phaily huvi thi, Wo hamesha ke liye khatam hogayi. Is terhan musalmanoon ki ek shaan, Ek taaqat aur duniya par roab aur dabdaba ka khtama hogaya. Turkoon aur saudioun ki dushmani ki ye ek wajah to Muslim hai.

Ertugul ki mukhalifat ki doosri wajah ek Saudi sahafi Jamal Khashoggi ka qatal bhi ho sakta hai jis ko chupaney balkay dabanay ke liye Saudi Arab ko kayi million dollar ki rishwat America ko dainee padi, Is ka raaz faash karne wala Turkey hi tha. Teesri wajah ye bhi hosakti hai ke 2023 mein Turkey un tamam pabandioun se azad hojayega jo pehli jung azeem ke baad is par ayed kar di gayi theen. Is ke baad Turkey ke Muslim World mein sab se ziyada taaqatwar mulk ban jany ke poooray poooray imkanaat hain jo Saudi Arab ke liye khatrah hain. Ye bhi mumkin hai jis terhan ek faqeer misken mulk Afghanistan par hamla karne musalman mulkoun ne yahodi nasri ka sath deya aisi terhan phir se yahi musalman mumalik dobarah Turkey ke khilaaf gheiroun ka sath den aur Turkey ko azaadi se rokk den. Chunkay Ertugrul bananay mein Tayyab Erdogan ka haath hai, Ye samjha ja raha hai ke ye Tayyab Erdogan ki taraf se ek baar phir khilafat qaim karne ka ishara hai. Chunkay Tayyab Erdogan ki maqboliat bohat taizi se badh rahi hai, Burma ho ke Palestine , Kashmir ho ke Yergour ( China ) , jahan bhi zulm hota hai sab se pehlay aawaz uthany wala Turkey hi hota hai is liye imkanaat hain ke Turkey ko khatam karne Saudi Arab aur Misar ko phir se istemaal kiya jayega, Kyunkay un ki tareekh ye rahi hai ke Turkey mein Erdogan se pehlay Mustafa Erdogan aur Misar mein Mohammad Mercy par jhutay ilzamaat laga kar ye loog Islami hukoomat qaim honay ke rastay rokk chuke hain.

Author : Dr. Aleem Khan Falki

Sader Socio Reforms Society, Hyderabad

Mobile No. 9642571721

Email : [email protected]

This is to informs readers that the views, thoughts, and opinions expressed in this article  belong solely to the author, and not to the management of the website. and readers may contact the author Dr. Aleem Khan Falaki, President Social Reform Society, Hyderabad.