Istanbul: Is waqt saari duniya mein Coronavirus ke bohraan ke nateejay mein fazai khidmaat taqreeban moattal hai lekin is bohraan ke bawajood Qatar aur Turkey ke darmia parwazein jari hain. 27 March 2020 ko tark Civil Aviation ke General Directorate ne tamam bain ul aqwami parwaazoun ko moattal karne ka elaan kiya lekin Qatar ke sath parwazein jari hain aur dono mumalik ke mabain Flight Ticket kharidne ka zabardast muqaabla dekha gaya hai.
Tafseelaat ke mutabiq 10 March ko Turkey mein Corona ka pehla maamla samnay aaya. 11 April tak Turkey mein 47 hazaar 29 afraad Coronavirus mein mubtala ho chukay they jin mein se 1006 afraad apni jaanun se haath dho baithy. Turkey hukoomat ne Corona se mutasir kayi mumalik ke sath fazai khidmaat band kardi thi lekin Doha aur Ankara ke darmain parwazein badastoor jari hain.
3 Feb ko Turkey aur China ke darmain fazai aamad waraft band huvi. 23 Feb ko Turkey ne mazeed mutadid mumalik ke sath parwazein band karne ka elaan kiya. 13 March ko Germany, France aur Spain jab ke 17 March ko Turkey ne Bartania ke liye parwazein band kar dein.
27 March 2020 ko Turkey Civil Aviation ke General Directorate ne ek bayan jari kiya jis ke mutabiq tibbi Committee ki sifarish ki bena par sadar Turkey jamhooria ne tamam bain ul aqwami parwaazoun ko moattal karne ke ehkamaat diye gaye hain. 3 April ko Turkey hukoomat ne Turkey ke 30 baday shehroun mein baher se aamad waraft band kardi taham Qatar se anay wali parwaazoun ko un shehroun mein Flight khidmaat jari rakhnay ki ijazat di gayi. –YTN STAFF