Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadTu bike hai kisi aur ki, chalaan koi aur bharta hai

Tu bike hai kisi aur ki, chalaan koi aur bharta hai

Hyderabad mein jaali number Plates mein izafay se awam pareshan

Hyderabad: Shehar mein mutadid gadiyon ke malikaan shikayaat kar rahay hain ke kisi aur fard ki janib se traffic qawaneen ki khilaaf varziyon ka chalaan wo ada kar rahay hain kyunkay dhoka denay wala afraad unki gaadi ka number kisi aur gaari ke sath istemaal kar rahay hain.

Bohat se log ab apni shikayaat ko register karne ke liye Twitter aur Facebook ka istemaal kar rahay hain aur traffic police se rabita kar rahay hain aur apne indraaj numbers ka ghalat istemaal karne walon ke khilaaf karwai ka mutalba kar rahay hain. Darin-Isna kuch shikayat dahindgaan ke masail hal hogaye, kuch aur log baar baar hukkaam ke sath apna maamla utha rahay hain.

Ek gaadi maalik ashish kumar ne cyberabad police ko shikayat ki ke is ki gaadi par 6 challlans jari kiye gaye hain jabkay khilaaf varzyon ka mulzim koi aur hai. unhon ne kaha hai ke registered number TS07GX2536 wali meri gaadi bhuri rang ki honda shine hai lekin mujhe is number par neelay rang mein ek aur motorcycle ke chalaan masool hua hai. mein ne is dhoka dahi ke mutaliq mutadid shikayaat ki lekin police ki taraf se koi jawab nahi aaya.

Ek aur gaadi ke maalik ne shikayat ki hai ke woh Activa scooter ka maalik hai, lekin usay dosray motorcycle ke chalaan ke text msg mil rahay they. tafseelaat haasil ki gayi to pata chala ke chalaan par tasweer ek motorcycle ki hai jis par mere scooter ka number hai. unhon ne cyberabad traffic police par zor diya ke woh is tarhan ke mamlaat taq jald yaksoi kare dilchasp baat ye hai ke ek an NRI jo feb mein hi America se shehar pohancha hai is ne bhi shikayat ki hai ke is ki motorcycle ghar mein band thi aur koi usay istemaal bhi nahi kar raha tha lekin usay traffic chalaan jari kiya gaya. Ek aur gaadi ke maalik parveen kumar ne –apne muamlay ki dobarah towseeq ki darkhwast ke sath police se rabita kiya. unhon ne kaha 11 June ko mein hyderabad mein hi tha lekin traffic police ne Yadadri mein traffic ki khilaaf warzi par meri gaadi par chalaan jari kiya., gaadi meri nahi hai aur na hi mein woh shakhs hon jo tasweer mein dekha gaya hai.

Ek aur muamlay mein Mohammad tauseef nay hyderabad traffic police se rujoo kiya ke iske paas Nampallycourt mein traffic ki khilaaf warzi ke ilzaam mein pehlay hi 700 rupay ka chalaan tha. mein nay chalaan ada karne ke baad traffic police nay Website se is khilaaf warzi ko door kardiya. taham ab Website par wohi chalaan dikh raha hai.

 

Hyderabad ke commissionaire Anjani kumar ne kaha ke jaali registration number istemaal karne walay afraad ke khilaaf city police khusoosi muhim chala rahi hai. unhon ne kaha Khatiyoun ke khilaaf fouj daari muqadmaat darj kiye jarahay hain aur karwai ka aaghaz kiya jaraha hai. traffic hukkaam ne kaha ke agar koi ghalat chalaan jari kiye jane ke baray mein hamaray notice mein lata hai to, hum shawahid talabb karne ke baad is maslay ko hal kar rahay hain. –YTN STAFF