Monday, April 21, 2025
HomeTelanganaTSRTC mulazmeen JAC ke rehnuma ki, hospital mein bhi bhook hartaal jari

TSRTC mulazmeen JAC ke rehnuma ki, hospital mein bhi bhook hartaal jari

Hyderabad : Telangana state road tansport corporation ( TSRTC ) ke mulazmeen ki ghair muayana muddat ki hartaal peer ke roz 45 din mein daakhil hogayi hai. mulazmeen JAC ke rehnuma ashwathama, jinhein itwaar ke roz apni rehaish gaah mein bhook hadtaal karne, aur unki sahet kharab honay ke baad police ki janib se giraftar karte hue, Osmaniya hospital mein daakhil karaya gaya tha, unhon ne hospital mein bhi apni bhook hadtaal jari rakhi hai.

JAC rehnuma ko police ne unki rehaish gaah se is waqt girftar kiya, jab woh Indra park mein bhook hadtaal karne ki ijazat na milnay ke baad apni rehaish gaah mein bhook hadtaal shuru ki thi. inhen doctoron ne mashwara diya tha ke unki haalat kharab ho rahi hai, lehaza bhook hartaal khatam karen. Is par JAC rehnuma ne inkaar karte hue wazeh kiya tha ke woh is waqt tak bhook hartaal khatam nahi karenge, jab tak hukoomat hartali mulazmeen se unke mutalibaat ke hal ke liye baat cheet karne ke liye agay nahi aati.

Chunkay itwaar ko reddy ki haalat kharab hona shuru hogayi thi. police ne inhen zabardasti hospital muntaqil kardiya. doctoron ne inhen sugar aur blood pressure ki girty satah ke pesh-e-nazar taawun karne ka mashwara diya. ittila ke mutabiq peer ki raat inhen zabar dasti khane ki peshkash ki gayi thi. taham reddy khana lenay se inkaar kar rahay hain aur unse milnay walon se kaha ke woh badastoor bhook hadtaal par hain. un se hospital mein mulaqaat karne waloun mein Telangana jana samiti ( TJS ) ke sadar M kodandaram bhi shaamil they.

Itwar ke roz police ne JAC ke ek aur rehnuma ko bhi bhook hartaal karne Par unke ghar se girftar kiya tha. agarchay JAC ne hukoomat kay sath TSRTC ke Inzimam ke bunyadi mutalba ko arzi tor par khatam karne ka elaan kiya tha, lekin iske baad se is ta-attul ko todnay ke liye kisi bhi aindah baat cheet ka ishara nahi diya gaya hai. TSRTC ke MD incharge sunil sharma ne apne halaf naame mein kaha hai ke mulazmeen mustaqbil mein Inzimam ka mutalba dobarah utha sakte hain.

High court peer ko case se mutaliq darkhwastoun par samaat dobarah shuru karegi. pichli samaat mein chief justice RS chouhan ne hadhtaal ko ghair qanooni qarar dene se inkaar kar diya aur sath hi hukoomat ko mulazmeen se baat cheet karne ke ehkamaat jari kar diye they. –YTN STAFF