Hyderabad : Telangana state road transport cooperation ( TSRTC ) ke mulazimeen ne apne mutalibaat ki yaksoi na honay par jumme ki aadhi raat se ghair muayana muddat ki hadhtaal shuru kardi. jiski wajah se riyasat bhar ke senkdon musafir Bus stops par phansay hue they aur Dussehra aur Bathukamma ke tehwaron ke liye apne apne shehron wo qasboun ko janay walon ko shadeed mushkilaat ka saamna karna padha, kyunkay 10,000 se ziyada RTC Buses bus depot tak mehdood hogayeen.
TSRTC employees union ki mushtarqa action committee nay daawa kiya hai ke hadtaal mein tamam 50,000 hazaar karkun hissa lerahay hain. JRC rehnumao nay kaha ke woh hadhtali mulazmeen ko mulazimat se Bar-khast karne ke hukoomati dhamkion se nahi dartay hain.
Hukoomat nay is hadtaal ko ghair qanooni qarar dete hue mutnabba kiya hai ke shaam 6 bajey tak duty par wapas nahi aaney waloun ko hafta ko khidmaat se Bar khwast kiya jayega.
Ohdedaron nay kaha ke hadtaal se nipatnay ke liye zurori khidmaat bahaali act ( ESMA) talab kiya jayega. unka daawa hai ke TRS intezamia ko mulazmat se Bar-taraf karne ka ikhtiyar haasil hai.
Delhi se wapsi ke foran baad hi ijlaas munaqqid karne walay KCR nay JAC ke hadtaal par janay ke faislay par sanjeedgi se note liya. hukoomat nay mulazmeen ke mutalibaat par ghor karne ke liye tashkeel di gayi IAS hukkaam ki teen rukni committee ko bhi tahleel kar diya aur elaan kiya ke union qaideen ke sath mazeed koi baat cheet nahi ki jayegi.
Panel ke sath baat cheet nakaam honay ke baad, JRC rehnumao nay apne mutalibaat ki yaksoi ki maang ko lekar hadtaal par janay ka faisla kiya, unka mutalba hai ke RTC mehakma ko hukoomat mein zam kiya jaye. –YTN STAFF