Monday, April 21, 2025
HomeSliderTSRTC mulazmeen 5 October se karenge ghair muaiyanna muddat ki hadhtal

TSRTC mulazmeen 5 October se karenge ghair muaiyanna muddat ki hadhtal

Hyderabad : Telangana state road transport cooperation ( TSRTC ) ke mulazmeen ne itwaar ke roz apne mutalibaat ke liye hukoomat par dabao daalnay ke liye 5 October se ghair muaiyanna muddat ki hadtaal karne ka faisla kiya hai. jiska ahem mutalba is unit ke hukoomat mein zam karne ke liye hai.

Mukhtalif mulazim Unions ki mushtarqa action committee ( JAC ) ne kaha ke inhen reyasti hukoomat ke ”qabl muzammat rawaiya “ ne hadtaal karne par majboor kiya hai. jo hadtaal ki ittila ke baad bhi zair-e-iltiwa mutalibaat ko poora karne mein nakaam rahi hai.

Mazkoorah unions TSRTC ko hukoomat mein zam karne ki khwahan hain. is mahinay ke shuru mein nuqsaan se do char honay wali Andhra pradesh state road transport coopration ( APSRTC ) ko padosi riyasat mein hukoomat mein zam kardiya gaya tha.

Inzimam ke alawa, TSRTC mulazmeen union, ujrat par nazar chani, mulazmat ki hifazat, sarkari vajbat aur khaali jaydadon ko pur karne ka mutalba kar rahi hain. Unions ke mutabiq ek laakh se ziyada mulazmeen mein se adhay mulazmeen contract ki bunyaad par kaam karte hain.

Union ke rehnumao ne ilzaam lagaya ke mulazmeen par kaam ka zabardast dabao hai, kyunkay inhen double duty karne par majboor kiya ja raha hai. unhon ne kaha ke TSRTC mein guzashta 5 saloun mein ek bhi naya mulazim bharti nahi kiya gaya hai.

Telangana mazdoor union ( TMU ) ke general secretary ne kaha ke woh hukoomat se mutalba kar rahay hain ke guzashta saal kabeena ki zilla committee ne jo yaqeen dehani karai thi, usay poora kiya jaye. unhon ne ilzaam lagaya ke hukoomat unke mamlaat par baat karne ke liye bhi tayyar nahi hai.

Unhon ne kaha ke agar hukoomat aglay 6 dinon mein un ke mutalibaat ka jawab dainay mein nakaam rahi to unke paas hadtaal karne ke siwa aur koi charah nahi hoga. –YTN STAFF