Friday, May 17, 2024
HomeSliderTSRTC ki bisher Buses bodhi hochuki, Hadsaat ka khadsha aur khazana par...

TSRTC ki bisher Buses bodhi hochuki, Hadsaat ka khadsha aur khazana par boojh

Hyderabad: Sehat mand public Transport System kisi bhi shehar ki paidaar taraqqi mein badi ahmiyat rakhta hai lekin Telangana hukkaam ne is zimn mein ghaflat se kaam liya hai kyunkay TSRTC par nazar dalain to pata chalta hai ke awaami Buses ko hukkaam kayi barson se nazar andaz karte rahay hain jis ke nateejay mein sadak par chalne wali Buses naaqis miyaar ki honay ke sath sath transport corporation ke liye maali bohraan bhi peda huwa hai.

Hyderabad mein ek behtar transport ke zimn mein karkun aur wakeel Sai Ratnam Chetnia ke zareya dair kardah haliya RTI ke mutabiq sadkon par mojood kam az kam 1375 TSRTC ki Buses 10 lakh kilometer se ziyada safar kar chuki hain. Un mein se 249 Buses ne 15 lakh kilometer se ziyada ka safar kiya hai aur 62 Buses ne 17 lakh kilometer mukammal karliya hai.

Unhoun ne is zimn mein izhaar khayaal karte hue kaha ke mujhe TSRTC ki kharab haalat ke baray mein ek khayaal tha taham hukkaam ke jawab se mere shubhat ki tasdeeq hogayi. Telangana ki sadkon par chalne wali kam az kam 2111 Buses 10 saal se ziyada purani hain aur taqreeban 603 Buses 15 saal se ziyada purani hain. Buses ki ost omar ke baray mein baat karte hue Ratnam ne kaha hai ke har Buses ke puranay hojane ke muamlay mein riyasat ki apni apni tareef hoti hai ke qadeem gaadi ki omar kiya hai. Telangana mein ek awaami Bus purani hojane ke liye ya to is ne 15 lakh kilometer ka safar mukammal karliya ho ya phir 15 saal ka arsa mukammal karliya ho jis ke baad is Bus ko qadeem Buses ki fehrist mein shaamil karliya jata hai.

Telangana ki sadkon par dodnay wali beshtar Buses un dono mayaron ko uboor kar chuki hain. Un Buses ko ziyada dekh bhaal ki zaroorat hai aur aasani se kisi bhi haadsay ka shikaar hosakti hain. Purani Buses agar haadsa ka shikaar nah bhi hon to woh nai gadiyon ke muqablay eendhan ki khapat bhi ziyada karen gi jo kay kisi nah kisi terhan se hukoomati khazanay par boojh hi hai.