Monday, April 29, 2024
HomeSliderTrump tum ko andaza nahi kis qoum se ulajh rahay ho

Trump tum ko andaza nahi kis qoum se ulajh rahay ho

America Ko Taliban Ka Sakht Intibah

Kabul : Afghan taliban nay ek martaba par America ko intibah diya hai aur kaha hai ke America ke sadar Donald Trump yeh samajhney mein nakaam hue hain ke woh kis qoum se ulajh rahay hain.

Taliban ke tarjuman Zabeeh ullah Mujahid nay Amrici sadar ko tweet mein kaha ke Trump bohat ahteyat baratna. unhon nay kaha ke Trump ko abhi tak yeh samajhney mein dushwari hai ke woh kis qisam ki qoum se ulajh rahay hain. Zabeeh ullah Mujahid nay mazeed kaha ke Trump ke mushiran ko inhen samjhna chahiye ke Afghanistan un ke liye qabrastan saabit hoga.

Wazeh rahay ke taliban ke tweet se mehez chand ghantay qabal hi kabul mein ek khudkash hamlay mein 4 ohdedar halaak hue they. Trump nay chand roz qabal Afghan sadar Ashraf ghanni aur taliban se camp David mein tey shuda khufia mulaqaat ko mansookh karte hue taliban se mazakraat multawi karne ka elaan kiya tha.

Taliban nay apne rad-e-amal mein kaha hai ke muzakraat ki mansookhi se America ko pehlay se ziyada nuqsaan pohanchega.

11 September ko America ke sadar Donald Trump nay 9/11 hamloun se mutaliq taqreeb mein Afghan jung ke hawalay se kaha ke taliban ko bad-tareen tareeqay se aisa nishana banayenge jiski maazi mein misaal nahi millti.

Trump nay 9/11 hamlon ke 18 saal mukammal honay par munaqidah taqreeb se khitaab karte hue kaha tha guzashta 4 dinon mein Amrici forces nay dushman ko aisa bad tareen nishana banaya hai jo is se pehlay kabhi nahi banaya gaya tha aur is ko jari rakhenge. Trump nay nishanay bananay ki noiyat ki wazahat kiye baghair kaha tha ke is ke liye guzashta haftay Afghanistan mein ek hamlay mein Amrici fouji ki halakat ke rad-e-amal mein taliban se muzakraat mansookhi ke baad hukum diya gaya tha .

9/11 hamlon ki zimmedaari qubool karne wali tanzeem Al Qaeda ki janib se aisay bayanaat samnay aaye they aur unki janib se jari honay wali ek video mein kaha gaya tha ke America , Europe , Israel aur roos ke mafadaat par hamlay kiye jayen ge. –YTN STAFF