Saturday, May 4, 2024
HomeSliderTrump ki WHO ku dhamki, Funds roknay ka faisla

Trump ki WHO ku dhamki, Funds roknay ka faisla

New York: Americi sadar Donald Trump ney aalmi idaara sahet ( WHO ) ke liye Americi maali muawnat mein kami karne ki dhamki dete huve is par ilzaam ayed kiya ke Coronavirus ke wabai marz ke douran is ka jhukao China ki taraf hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq Trump ney Media se guftagu karte huve kaha ke hum aalmi idaara sahet ko diye jaane walay Funds rokk rahay hain. Duniya bhar ke mumalik mein aalmi idaara sahet ki sab se ziyada maali imdaad America karta hai taham sab se pehlay America ka naara laganay walay Trump WHO se qabal kayi deegar aalmi tanzeemoun ko bhi tanqeed ka nishana bana chuke hain.

Trump ney is hawalay se tafseelaat nahi bitayen ke WHO ki kitni Funding roki jaye gi taham is bayan ke thodi der baad hi ek aur Press Conference mein unhoun ney ye bhi keh diya ke mein ye nahi keh raha ke mein aisa karne ja raha hon. Hum Funding ke khatmay par ghhor karen ge. Trump ke bakol yun lagta hai ke WHO ka China ki taraf bohat jhukao hai jo theek nahi hai. Qabal azeen unhoun ney apni ek Twit mein kaha tha ke aalmi idaara sahet ki tavajja bohat ziyada China par markooz hai.

Americi sadar ney kaha ke khush qismati se mein ney China ke liye Americi sarhadoun ko khula rakhnay ki aalmi idaara sahet ki tajwez mustard kar di thi. Unhoun ney is hawalay se WHO ki sarhadein khuli ruknay ki tajweez ko naaqis qarar diya. Johns Hopkins University ke mutabiq America mein guzashta 24 ghantoun ke douran Coronavirus ki wajah se sab se ziyada halakten Record ki gayi hain jin ki tadaad 1736 hai. America mein Corona se honay wali jumla halakatoun ki tadaad 12 hazaar 722 tak poanch gayi hai aur America mein Coronavirus ke mutasireen ki tadaad lag bhag 4 Lakh hogayi hai.