Thursday, May 16, 2024
HomeSliderTrump ke sabiq musheer dhoka dahi ke ilzaam mein giraftar

Trump ke sabiq musheer dhoka dahi ke ilzaam mein giraftar

Washington: America sadar Donald Trump ke sabiq musheer aur Chief strategist Stephen K. Bannon ko fundz mein khard bard ke ilzaam mein giraftar kar liya gaya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq Stephen Bannon ko America ki Mexico ke sath sarhad par deewar taamer karne ki gharz se ikathay kiye gaye fundz mein khiirad bard ke ilzaam mein giraftar kiya gaya hai. Sadar Trump ke saathi Stephen Bannon ke hamrah deegar teen afraad ko bhi giraftar kiya gaya hai. Un charon afraad par money laundering ki saazish aur dhoka dahi ka ilzaam hai. Hum deewar taamer karen ge ke unwan se shuru ki gayi online muhim ke tehat 2 crore 50 lakh dollar se ziyada ke funds ikathay kiye gaye they jo America ki Mexico ke sath sarhad par deewar taamer karne ki gharz se istemaal hona they.

Americi tehqiqati idaron ke mutabiq Stephen Bannon aur un ke sathiyon nay apna munafe kamanay ki gharz se funds ka istemaal kiya. Tehqiqati team ke rukan Philip R Bartlett nay kaha hai ke Stephen Bannon aur un ke sathiyon nay nah sirf donors ke sath jhoot bola balkay funds mein khiirad bard chhupanay ke liye jhutay Accounts banaye aur apne juraim chhupanay ki koshish ki.

Sadar Trump ke Islami mumalik ke shehrion par safri pabandiyan laganay aur Paris ke aalmi maholiyati tabdeeli ke muahiday se dast bardari ke mutanazia iqdamaat ka zimma daar bhi Stephen Bannon ko hi thehraya jata hai. August 2017 mein sadar Trump aur Stephen Bannon ke darmiyan tanazeaat bhedne ke baad Sadar Trump nay inhen ohday se bar tarf kar diya tha.

Saddar Trump nay 2016 ki intikhabi muhim ke douran Mexico ke sath sarhad par ghir qanooni aamad-o-raft roknay ke liye deewar tamir krne ka wada kiya tha jabkay Stephen Bannon nay is maqsad ke liye raqam akathi karne ki gharz se online muhim shuru ki thi. Americi Prosecutor  ke mutabiq Stephen Bannon nay is fund mein se 10 lakh dollar se ziyada ki raqam apni NGO ke tehat kharch ki jabkay kuch zaati akhrajaat mein istemaal kiye.