Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaTrump ke istaqbaal ke liye 70 lakh afraad? Americi sadar ke dora...

Trump ke istaqbaal ke liye 70 lakh afraad? Americi sadar ke dora hind par shadeed tanqeed

Washington: Americi sadar Donald Trump ke pehlay dora Hindustan ki tayyariyan zor o shore se jari hain. Wahein doosri taraf is doray par lagatar tanqeed ki jarahi hai. Gujrat hukoomat par ilzaam ayed ho raha hai ke wo ghareeboun aur un ki makanaat ko deewar taamer kar ke chupana chaah rahi hai. Wahein Trump ne bhi Hindustan aamad se qabal ye keh kar tanaza khada kar diya hai ke Hindustan ne un ke sath behter sulook nahi kiya, Taham unhoun ne Modi ki tareef bhi ki hai.

Trump ne apne bayan mein ye bhi keh diya ke Gujrat ke 70 lakh loog un ka istaqbaal karne ke liye be qarar hai. Trump ne apne bayan mein kaha ke un ke istaqbaal ke liye Airport se Stadium tak 70 lakh loog jama hon ge.

Opposition jamaat Congress ne Trump ke is bayan ke hawala se markazi hukoomat par tanqeed ki hai. Congress ke rehnuma Adhir Ranjan Chowdhury ne kaha ke Trump kiya bhagwan hain, Jo un ke istaqbaal ke liye 70 lakh afraad ko jama karna zurori hai.

Donald Trump apne bayan mein kaha tha mein Modi ko bohat pasand karta hon. Unhoun ne mujhe bataya ke Airport aur Programme ke maqam ke darmain 70 lakh loog hon ge. Mujhe pata hai ke Stadium zair taamer hai lekin ye duniya ka sab se bada Stadium hoga. Lehaza ye bohat dilchasp ho ga. Mujhe umeed hai aap usay pasand karen ge.

Adhir Ranjan Chowdhury ne kaha Trump kya bhagwan hain? 70 lakh afraad ko jama karne ki kiya zaroorat hai? Wo tijarti soda nahi kar rahay hain, Un ke liye America sab se pehlay hai, Wo sirf America ka dhanda karna chahtay hain, Wo hamein khush karne nahi aa rahay hain.

Trump ke 70 lakh afraad walay bayan par Social Media mein bhi radd e amal ka izhaar kiya ja raha hai. Sahafi Malan khandekar ne likha, 70 lakh loog! America ke sadar ke mutabiq Modi ne inhen kaha hai ke Ahmedabad mein Airport se Stadium tak 70 lakh loog un ke istaqbaal mein khaday hon ge. 2011 mein Ahmedabad ki abadi 56 lakh thi ab badhi hi hogi yani pooray shehar ko istaqbaal ke liye utaarna hai. –YTN STAFF