New York: America aur Iran kasheedgi ke douran Americi sadar Donald Trump ka ek jhatka laga hai jisakh un ke jung ke ikhtiyarat mehdood kardiye gaye hain. Awaan numaindgaan mein sadar Donald Trump ke jung ke ikhtiyarat mehdood karne ki qarardad manzoor hogayi hai jis par Trump ne kaha hai ke inhen hamlay karne ke liye kisi ki ijazat ki zaroorat nahi.
Tafseelaat ke mutabiq jab Trump se poocha gaya ke aaya wo Iran ke khilaaf mazeed fouji karwai mein Congress se ijazat talabb karenge, To unhoun ne kaha ke inhen ijazat lainay ki zaroorat nah hai aur nah honi chahiye.
America ki janib se Irani al Quds force ke sarbarah general Qasem Soleimani ki halakat aur is par Iran ki jawabi karwai ke baad America aur Iran ke darmain kasheedgi mein sakht izafah huva, Jis ke baad Democratic Party ke arkaan ne Trump ke jung ke ikhtiyarat mehdood karne ke liye qarardad pesh ki.
Trump ke khilaaf raye dahi ke douran qarardad ke haq mein 224 jabkay mukhalifat mein 194 vote daaley gaye. awaan numaindgaan mein Trump ke jung ke ikhtiyarat mehdood karne ki qarardad par un ki apni republic party ke 3 arkaan ne bhi vote diya. Unhoun ne mutalba kiya ke Trump ko congress ki ijazat ke baghair Iran ke sath fouji karwai mein mulawis nahi hona chahiye.
Republican party ki wo arkaan jinhoun ne jung ke ikhtiyarat mehdood karne ke haq mein vote diya un mein Matt Gaetz bhi shaamil thay, Jo congress mein Trump ke zabardast hemayatoun mein se ek hain.
Awaan numaindgaan mein khitaab ke douran Matt Gaetz ne kaha hai ke un ka ye iqdaam Trump par tanqeed nahi karta balkay ye is liye hai ke mashriq wasti mein ek aur hamesha ke liye jari rehne wali jung mein shaamil hona ghalat faisla hoga. Agar hamaray fojioun mein jung mein ladnay aur jaan dainay ki himmat hai to Conress honay ke tor par hum mein bhi himmat honi chahiye ke hum un ke haq mein vote karen ya un ke khilaaf. –YTN STAFF