Monday, April 29, 2024
HomeSliderTrump ka nataij se qabal fatah ka elaan

Trump ka nataij se qabal fatah ka elaan

washington: America mein sadaarti intikhabaat ke liye raye dahi band hogayi hai aur ginti bhi ikhtitami marahil mein daakhil hochuki hai aur iss ne yeh saabit kar diya hai ke Amrici sadr ki nishist ke liye musabqat kisi bhi umid-war ke liye aasaan nahi hogi kyunkay Trump aur biden mein farq bohat kam hai. Ballot ginti ke darmiyan sadar Trump ne nataij ke elaan ya mukammal ginti aur election commission se qabal apni fatah ka elaan kardiya. unhon ne intikhabaat ko americion ke sath dhoka dahi qarar dete hue kaha ke woh kisi bhi ginti ko fori tor par roknay ke liye Supreme Court jayenge.

yeh mazhaka khaiz elaan dhai bajey Florida , Ohio aur Texas reyaston mein Trump ne apni fatah kiya jahan joe biden buri tarhan hargye, florida mein biden aur unki ahliya ke zair-e-ihtimaam aakhri lamhoun ki reliyan aur mehmaat ke baad bhi woh Trump ko shikast dainay ke qabil nahi thay kyunkay florida bashindon ne inhen vote nahi diya.

white house se diye gaye apne bayan mein Trump ne kaha yeh Amrici awam ke sath dhoka dahi hai. yeh is mulk ke liye sharmindagi hai. hum yeh election jeetnay ke liye tayyar ho rahay thay. sach kahoon to hum ne yeh election jeeta hai.

Apne daaway mein Trump ne kaha ke Michigan, Pennsylvania aur Wisconsin ki badi reyaston mein unki fatah ki tasdeeq hai. Trump ne ballot ginti ko band karne ka mazeed mutalba kiya aur kaha ke woh subah 4 bajey tak kisi bhi ballot ginti post ko nahi dekhna chahtay woh jin qanooni shaqon ke tehat yeh is kaam ko anjaam denge woh ab tak wazeh nahi hai.

Bahar haal manager jain ne sadar ke daaway ko ishtial angaiz aur ghalat qaraar diya aur kaha ke unhon ne kaha ginti band nahi hogi. yeh tab tak jari rahay ga jab tak har vote daalnay walay voton ki ginti nahi ki jati hai kyunkay yahi hamaray qawaneen aur woh qawaneen hain jo har Amrici ke vote daalnay ke aaeni haq ki hifazat karte hain.

Chunkay Trump aur biden mein se koi abhi tak 270 ke nishaan tak nahi pahonch paaya hai, isliye ginti roki nahi jayegi.