Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaTrump ka dora Gujrat, Sakht Security intizamaat, Har shakhs ki maloomat Police...

Trump ka dora Gujrat, Sakht Security intizamaat, Har shakhs ki maloomat Police jama karne mein masroof

Ahmedabad: Americi sadar Donald Trump ke Gujrat doray ke silsilay mein ki janay wali Security ke ghair mamooli intizamaa ke darmain yahan zair e taamer duniya ke sab se baday Cricket Stadium mein un ke Kamechhoo Trump Programme ke liye madoo 1 Million se zayed hazreen mein se har kisi ke baare mein Police shadeed jaanch padtaal kar rahi hai.

1 Police ohdedar ne aaj kaha ke Wazeer e Azam Narendra Modi ke sath 24 Feb ko Trump ka Ahmedabad dora kisi Americi sadar ka pehla Gujrat dora hoga. Is doray ke liye majmoi tor par 11 hazaar se ziyada Police ohdedar Security intizamaat mein tainaat rahen ge. Wo Airport se Modi ke sath Sabermati Aashram ayenge aur Motera ke Sardar Patel Stadium jayen ge jahan Kame chhoo Trump Program mein Modi ke sath shirkat karenge.

 Unhoun ne mazeed kaha ke Modi ke America doray ke mauqa par honay walay Howdy Modi Program ki tarz par honay walay is Program ke liye taqreeban 1 lakh 20 hazaar afraad is baday Stadium mein bator nazreen shareek honge lekin un mein se tamam afraad madoo honge aur Gujrat ke mukhtalif hissoun se ayenge. Un mein se har ek ki mukammal chhaan bain ki ja rahi hai. Muqami Police is silsilay mein shaded tehqiqaat kar rahi hai aur baad mein alla satah par towseeq kiya jayega. Trump ke doray ke liye 25 IPS afsaraan bhi tainaat honge. Is ke alawa Assistant Police Commissioner satah ke 65,200 Inspector aur 800 Sub Inspector aur 10 hazaar aam police ohdedar tainaat rahen ge. Security mein SPG aur deegar commando bhi rahen ge.

Doray ke pesh e nazar shehar ke tamam hotels aur mehman khanah mein anay aur rehne walay ek 1 shakhs ke baare mein mukammal maloomat haasil ki jarahi hai. Stadium ke ird gird ke tamam ilaqoun mein kiraya daaroun aur naye shaiqeen ke baare mein bhi police mukammal maloomat jama kar rahi hai. Wazeh rahay ke Trump 60 aekar se bhi ziyada ke ilaqay mein phailay is azeem Stadium ka iftitah karen ge. Gujrat Cricket Association ke sabiq sadar rehne walay Modi ke liye ye Stadium bhi ek pasandeeda mansoobah raha hai. Ussay nisbatan kam istedad walay puranay Stadium ke maqam par banaya gaya hai. –YTN STAFF