Monday, April 29, 2024
HomeTrending NewsTrump hi America ko ek aur 9/11 hamlay se bacha sakte hain:...

Trump hi America ko ek aur 9/11 hamlay se bacha sakte hain: Noor Bin Laden

Washington: America mein un dinon do mozuaat mauzo behas hain ek corona ki waba tu doosri sadaarti intikhabaat. Waisay bhi corona ki wajah se amwaat aur mutaserha afraad ki sahet mand honay ki khabrain roz ka mamool bin chuki hain jis mein ab awam ko ziyada dilchaspi bhi nahi rahi lekin Donald Trump ke dobarah America sadar bin’nay ke fawaid aur nuqsanaat nay awaami tavajja aur dilchaspi haasil karli hai aur ab is mauzo ko Al Qaeda ke baani Osama bin Laden ki bhateeji ke bayan nay mazeed garma diya hai.

America aur bin Laden ek dosray ke kattar hareef manay jatay hain aur unkay darmain 9/11 ka hamla aag par tail ka kaam karta hai, Is douran Osama bin laden ki bhateeji Noor bin Laden ke bayan mein Trump ki himayat nah karne par Americi awam ko diya jaaney wala intibah ny sochnay par majaboor kar diya hai.

Noor ny intibah dainay wala andaaz ikhtiyar karte hue kaha ke agar Trump dobarah sadar muntakhib nahi hue to America ko ek aur 9/11 hamlay ka saamna karna padsakta hai. Osama bon Laden ki bhateeji Noor bin Laden intibah diya hai ke agar Americi sadaarti intikhabaat mein joe Biden sadar muntakhib hue aur Trump ko shikast hui to America par 9/11 ke dehshat gardana hamlon jaisa ek aur hamla ho sakta hai aur Americi awam ko ek aur dehshat gard hamlay se sirf Trump hi mehfooz rakh satke hain.

Noor ke bayan ki tafseelaat shaya karte hue New York post ney kaha hai ke Noor ke khayaal hai ke Obama aur Biden ki zair sarparasti intizamia ki wajah se Daesh phaily. Bin Laden ki bhateeji Noor bin Laden is waqt Switzerland mein muqeem hain lekin khud ku wo dil se Americi samjhti hain. Noor ney Americi sadaarti intikhabaat ke zimn mein kaha hai ke woh sadar Trump ki himayat karti hain. Noor ney mazeed kaha ke Trump ka intikhab nah sirf America balkay maghribi duniya ke sath saaray aalam ke aman ke liye zurori hai.