Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderTrump 25 saal mein pehli martaba forbus ke 400 ameer tareen afraad...

Trump 25 saal mein pehli martaba forbus ke 400 ameer tareen afraad se bahar

Washington DC: America sabiq sadar Donald Trump aur real estate ke maahir 25 saalon mein pehli baar forbus ke 400 ameer tareen afraad ki fehrist se bahar ho gaye hain. Forbus ki ek report mein kaha gaya hai ke Trump ke paas itni hi daulat hai jitni uske paas ek saal pehle thi lekin woh corona wabai amraz ke agaaz ke baad se 600 million dollar kum hai…Trump ki daulat 2.5 billion dollar ke lag bhag hai is wajeh se woh is saal forbus ki fehrist banane ke liye 400 million dollar cut off se kum reh gaye hain.

Report mein kaha gaya hai ke Americi safarati inteqabat ke dauran Trump ke paas sunehri mauqe tha. 2016 ke inteqabat ke baad wafaqi aqlaqiyat ke Auhdedar Trump par zor de rahe the ke woh unke real estate asason ko taqseem karein. Forbus ke report mein kaha gaya hai ke is se woh aamdani ko wasee buniyad par index funds mein dobara sarmaya Kari karne aur mafadaat ke tanazaat se paak daftar sambhalne ki ijazat deta hain taa hum sabiq Americi sadar ne apne asase munjamid karne ka faisla kiya tha. Is waqt unke asason ka taqmiya 3.5 billion dollars tha aur yeh raqm qarz ko kum karne ke baad thi.

Forbus magazine ne kaha ke Trump is darje bandi mein kami ke liye zimmedar hain. White house mein daqil hone se kuch din pehle Trump ne note kiya tha ke in karobar Chala sakta hain. Taa hum Trump ka khayal ek khawab hi sabit huwa sadar ki dusri meaad ke liye na hi unhe kamiyabi naseeb huwi aur na hi unki daulat mein koe izaafa hoga. Trump ko dusri meaad ke liye Americi awaam ne mustarad kar diya.