Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadTRS ke awaami jalsa ke zimn mein LB stadium ke aas...

TRS ke awaami jalsa ke zimn mein LB stadium ke aas paas Traffic Tehdidat

Hyderabad : City Traffic  police nay LB stadium mein Telangana Rashtriya samithi ke awaami jalsa ke mad-e-nazar 29 March , baroze jummay ko sham 4 bajey se 9 bajey tak traffic diversions ka elaan kiya hai. BJR mujasma ki aur petrol pump junctions  se gadiyon ke guzarnay ki ijazat nahi hogi aur traffic ko  Nampally ki taraf mod diya jaye ga.

Abids aur Gun foundary ki janib se aanae wali gadiyon ko BJR mujasma ki taraf jaanay nahi diya jaye ga. aur Chappal road ki taraf SBI Gun foundary ki taraf mod diya jaye ga. Basheer baagh junctions se anay walay Traffic  ko GPO Abids ki taraf jaanay nahi diya jayega. aur Basheer baagh Junction se Hyderaguda aur king kothi road ki taraf mod diya jayega .

Puranay MLA quarter se Basheer baagh ki taraf anay wali gadiyon ko Himayat Nagar Y  Junction ki taraf mod diya jayega. Raaj mohalla road se Old MLA  ae quarter ki aur anay walay Traffic  ko qabrastan junction par king kothi ya Naryan guda ki taraf mod diya jayega. isi tarha bhartia Vidya bhavan ke rastay king kothi se Basheer baagh ki over anay walay Traffic  ko king kothi choraha se Taj mahal hotel aur qabrastan Junction ki over mod diya jaye ga .

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF