Sunday, May 19, 2024
HomeSliderTripoli mein 5 lakh bachay 'khatray' se dochar: UNICEF

Tripoli mein 5 lakh bachay ‘khatray’ se dochar: UNICEF

Libya ke dar-ul-hakoomat Tripoli mein 5 lakh bachay mutharab jangju Militias ke darmiyan jari ladai ke nateeja mein khatray se dochar ho chukay hain. United Nations ke tahet huqoqqِ atfaal ke idaara UNICEF ney peer ko aik bayan mein kaha hai ke guzishta 48 ghantay ke douran mein Tripoli ke junoob mein ladai mein shiddat ke baad se mazeed 1200 se ziyada khandan be ghar hogaye hain. UNICEF ka kehna hai ke Tripoli aur iss ke nawahi ilaaqon mein August se jari musallah jhadpon ke nateeja mein 25 hazaar se ziyada afraad be ghar ho chukay hain. Un mein nisf tadaad bachon ki hai. United nations ki iss Agency ke Middle East aur shumali Africa mein Director Garrett Kapler ney kaha hai ke ” Mazeed bachon ko jung ke liye bharti kiya ja raha hai jis se woh fauri khatrah se dochar ho chukay hain aur ladai mein shareek aik bacha mara bhi ja chuka hai”. Libya ki wizarat sahet ke hafta ki shab faraham kardah adaad wo shumaar ke mutabiq Tripoli aur iss ke nawahi ilaqa mein guzishta aik mah se mutharab jungju groups ke darmiyan jari ladai ke nateeja mein 115 afraad halaak aur kam se kam 400 zakhmi ho chukay hain. Ladai se mutasirah ilaaqon se be ghar honay walay afraad ko aik Schoolon mein aarzi taur par thehraya ja raha hai jis ke paish e nazar 3rd  October se naye taleemi saal ka aaghaz mumkin nazar nahi araha hai aur iss mein takheer hojaye gi. UNICEF ke mutabiq ladai se mutasirah ilaaqon ke makeeno ko khoraak, bijli aur pani ki qillat ka saamna hai. Ladai mein shiddat se taarkinِ e watan ki mushkilaat mein bhi izafah hochuka hai. Kapler ka kahna tha ke ”Senkdroon girftar panah gzinon aur taarikeen e watan ko tashadud ki wajah se zabardasti doosri jaghon par muntaqil kiya ja raha hai. Un ke alawa bahut se taarkin e watan aisay marakaz mein phas kar rahe gaye hain, jin ki haalat intehai naguftah bah hai. Wazeh rahay ke Aqwama mutahidda ki masalihati koshisho ke nateejay mein 4th September ko mutharab Militias ke darmiyan jung bandi huwi thi lekin guzishta haftay Tripoli ke junoobi ilaaqon mein Tarbona aur Misrat se talluq rakhne wali Militias aur Tripoli mein Libya ki qaumi hukoomat ke tahet Militias mein dobarah ladai chhid gayi thi.