Friday, May 17, 2024
HomeIndiaTriple Talaq ke khilaaf Ordinance manzoor

Triple Talaq ke khilaaf Ordinance manzoor

Guzishta baras August mein Supreme Court ki paanch rukni bench ney Triple Talaq ko ghair dastoori qarar dete huwe markazi hukoomat ko munasib qanoon saazi karne ki hidayat di thi. Jammu & Kashmir par is qanoon ka itlaq nahi hoga.

1.Triple Talaq hanooz na qabil e zamanat hai aur teen saal ki sazaa e qaid aur jurmana hoga.
2. Triple Talaq ko isi soorat mein jurm tasawwur kiya jaye ga jab aik khatoon ya is ke khooni rishta daar ya nikah ke umoor se judey afraad hi Police mein shikayat karte hain.
3. Khatoon ki razamandy ki soorat mein hi mafahmat hosakay gi aur is ka izhaar Magistrate ke rubaroo hoga. Aik Magistrate hi zamanat manzoor kar sakta hai magar is ke liye khatoon ko apni baat rakhney ka mauqa dena hoga.
4. Jode ke na baaligh bachon ki parwarish maa ke supurd hogi .
5. Maa aur bachon ka naan o nafqah Talaq dainey walay par hoga jis ka taayun Magistrate kere ga.
6. Qanoon ka itlaq Jammu & Kashmir par nahi hoga.

Hyderabad. Markazi Cabinet ney budh ko Ordinance manzoor karte huwe yaklakhth Triple Talaq (Talaq Biddah) ko mustawajib sazaye qaid kharar dete huwe Ordinance ko manzori dey di hai. Yaad rahay ke guzishta baras August mein Supreme Court ki aik paanch rukni bench ney Triple Talaq ko ghair dastoori qarar dete huwe markazi hukoomat ko hidayat di thi ke is ke tadaruk ke liye munasib qanoon saazi ki jaye, jis ke baad Modi hukoomat ney Lok Sabha mein iss khusoos mein bill ”Muslim khawateen (tahaffuz huqooq zojiat) 2017” paish karte huwe manzoori haasil karli thi taham Rajya Sabha mein khatir khawah aksariyat na honey ke baayis Muslim Women (Protection of Rights on Marriage) Bill ko paish nahi kiya jaska tha. Bad azaan Union Cabinet ney is bill mein chand tarameem ko manzoor di thi. Iss Ordinance ke ahem khad o khhaal yeh hain ke agar koi bayak waqt Teen Talaq dey ga jis ke liye Adalat e Uzma ney Talaq  Bidda ki istelaah bhi istemaal ki hai to woh teen saal sazaye qaid ka mustawajib hoga. Triple Talaq ke khilaaf shikayat karne ka haq iss khatoon ko hoga jis ko Talaq di gayi hai ya phir iss ke khooni rishta daar ya phir woh afraad jo iss ke Nikah ke umoor se munsalik rahay thae. Isi tarha sirf khatoon ki imaa par hi masalihat wo mafahmat ki gunjaish rahay gi, iss ka matlab yeh hoga ke agar koi khatoon yeh shikayat kere ke usay Talaq Bidda dey di gayi hai magar shohar usay apnana bhi chahay to yeh isi waqt mumkin hoga agar shikayat kunindah khatoon bhi is par amaada ho. Isi tarha is Ordinance ki ru se Talaq Bidda ki shikayat par mulzim ko Police Station se zamanat nahi mil sakay gi. Magistrate ko hi zamanat dainey ka ikhtiyar hoga. Magistrate ke liye bhi yeh laazim ho ga ke zamanat manzoor karne se qabl shikayat kunindah khatoon ka moaqqaf bhi jaaney aur is ke istedlaal ki samaat kare. Triple Talaq se alahda honey walay jooday ki na baligh aulaad par Haq e Hisanat khatoon ka hoga yani na baaligh aulaad khatoon ki zair e parwarish diye jayen ge aur mulzim par iss khatoon aur is ke bachon ko naan wo nufqa ada karna hoga. Is Ordinance ka itlaaq Jammu & Kashmir par nahi hoga.

Wazeer e Qanoon Mr. Ravi Shankar Prasad ney aaj Delhi mein aik Press Conference mein iss Ordinance ki manzoori se waaqif karwatay huwe kaha ke Triple Talaq ke waqhiyat ki rok tham ke liye Ordinence ki manzoori aik dastoori ujlat thi chunkay January 2017 se September 2018 tak Triple Talaq ke 430 waqhiyat runuma ho chukay hain. Unhon ney kaha ke hum ney badi koshish ki thi ke is maslae par Congress ka sath le sakay magar Congress Party ney Vote Bank ke dabaaoo mein aakar is Bill ko Parliament mein ittefaq raaye se manzoori dilaney mein hukoomat ka sath nahi diya hai. Unhon ney bataya ke woh aur Mr. Anant Kumar ney is khusos mein Congress ke leader Mr. Ghulam Nabi Azad se mutadid martaba baat karne ki koshish ki magar koi musbit radd-e-amal nahi aaya. Ordinance ki manzoori par Congress Party ney apne awaleen radd-e-amal par kaha ke Amnded Bill ney hamari tashweesh ko door nahi kiya hai ke kis tarha mutasirah khatoon ko naan wo nafqa ada kiya jaye ga jab Talaq dainey wala shohar jail bhaij diya jaye ga. Congress Leader Mr. Randeep Surjewala ney kaha ke hum ney tajweez paish ki thi ke shohar ki jayedad ko qurq (seize) karliya jaye lekin Modi hukoomat, Muslim khawateen ko insaaf dilaney mein dilchaspi nahi rakhti hai. Sadar Majlis Ittehad ul Muslimeen wo Rukn e Parliament Barrister Asaduddin Owaisi ney Ordinence par apna radd-e-amal zahir karte huwe kaha ke Narendra Modi hukoomat, Musalmanoon ko nishana banana chahti hai. Triple Talaq Ordinence ka masawaat se koi lena dena nahi hai. Yeh mughalita dainey hukoomat ka harba hai.