New Delhi: Coronavirus ko qabo mein karne ke liye mulk mein lockdown ke halaat aur kayi reyastoun mein Curfew lagaye jaane ki wajah se private Transport companiyon ki khidmaat taqreeban thap ho gayi hai, Jis ka assar ashyae zarooria ki sarbarahi par padney laga hai. Qaumi dar-ul-hukoomat mein badi companiyon ne Bread ki sarbarahi ek din ke farq par karni shuru kar di hai, Jabkay muqami tor par dastyab karaye jaane walay taaza Paneer, Mava aur khova ki sarbarahi mein rukawat peda hogayi hai.
Delhi mein phal aur sabzioun ki sarbarahi karne wali Mother Dairy mein apne’ saphal kandroun par aaj 330 ton phal aur sabzian bhaije hai. Company ke tarjuman ne kaha ke Saphal ke 300 se zayed khorda farokht marakaz par phal aur sabzian bhaije gayi hain. Saphal Indore se kelay, Nashik se angoor aur Nagpur se Santare mannga raha hai. Mother Dairy apne 850 marakaz ke zareya logoun ko doodh faraham kar raha hai.
Transport Corporation of India ( TCI ), Associate Road Career ( ARC ), North Eastern Catering Corporation, Jay Mataa di, Courier Service dainay wali DTDC, Aur Saif companiyon ne apni gadiyoun ki khidmaat rokk di hain aur mulazmeen ko ghar bhaij diya hai.
Un Transport companiyon ke paas apne aur kiraya ki hazaroun badi Commercial gadiyaan hain. Jo gharelo ashya ke alawa phaloun, Ananjoun aur adoyat ko ek maqam dosray maqam tak pohanchate hain. Un companiyon ne kaha hai ke un ki kuch gadiyaan mukhtalif maqamat par rokk di gi hain jin par ashyae zarooria bhari huvi hain, Dabur aur Patanjali jaisi companian Nepal se Truck ke zariye mukhtalif ashya ki naqal o hamal karwati hain jo ab ruk gayi hain. Private Transport companian kuch maqamat par phal sabzian aur Doodh ki naqal o hamal mein masroof hai.
Traffic mein kami ki wajah se qaumi dar-ul-hukoomat ke ilaaqoun mein sabzioun ki qeemat bhedne lagi hai aur kuch maqamat par is ki bohat ziyada qeemat li ja rahi hai. Ziyada tar sabz sabzian 60 se 100 rupay fi kilo gram hogayi hain. Jabkay papeeta aur santarah ki qeemat 40 se 80 rupay fi kilo gram farokht ho raha hai. Delhi ke alawa Hindustan ke beshtar ilaaqoun mein halaat yaksaa hi tabdeel huve hain aur tarkarioun ki qeematoun mein be tahasha izafah huva hai. –YTN STAFF