Hyderabad: 11 November ko Hyderabad may 2 train ke tassadum may zakhmi honay walay Loco Pilot ki hafta ki raat yahan ek niji Hospital may mout ho gayi. Railway aur Hospital ke zaraye ke mutabiq Multi-Modal Transport System (MMTS) ke Loco Pilot Chandrashekhar, jo haadsa may shadeed zakhmi ho gaye they, ilaaj ke douran dam tod diya. dono train ke tassadum ke sabab Loco Pilot train ke Cabin may phas gaya tha, jisay mukhtalif agencies ke zariye chalaye gaye 8 ghantay ki muhim ke baad nikaal liya gaya tha.
Wazeh ho ke 11 November ko peer ke roz MMTS ki Local Train Hyderabad ki Kachiguda Railway Station par Karnool. Secunderabad Express se takra gayi, jis may lag bhag 16 afraad zakhmi ho gaye. ye haadsa subah qareeb 10.40 bajey pesh aaya.
wizarat Railway ne is waqeye ke douran mamooli zakhmi honay walay afraad ke liye 5000 hazaar Rupay aur shadeed zakhmi honay walay musafir ko 25000 hazaar Rupay ki imdaad ka elaan kiya hai. South Central Railway ( SSR ) ke Press Release ke mutabiq, is tassadum may MMTS Train ke 6 Coach aur Hundry Express ke 3 Couches ko nuqsaan pouncha hai.-YTN STAFF